Ye chahaton k wahi silsile purane hai Naat Lyrics

Ye chahaton k wahi silsile purane hai Naat Lyrics

 

 

Ye chahaton k wahi silsile purane hai,
unhi k haath mein rab k diye khazane hai,

Lagi hai qalb Pe mohar pata nahi inko,
ye badtareen hai badtar jalaijane hain,

Sabhi k peeche agar yon Namaz hoti tou,
hussain jate the milkar Namaz padh lete,

Na manenge hum tum najdiyon ki chalon ko,
ham hai hussaini musalla bachane wale hain,

Jo log kahte Hain tadpe hussain pani ko,
darasal tadpa hai pani lab e noorani ko,

Ye sabr hai mere sarkaar k nawase ka,
hussain sajde mein gardan katane wale hain,

Wahi Huzoor ka pyara raza hamara hai,
hai bajta naam se najdi k munh pe 12 hai,

Wahi dawa hai k najdi bimari bhagegi,
k ghar pe apne likhkar hamein lagane hai,

Huzoor Mufti e azam ki vo wirasat hai,
Vo ala hazrat ahmad raza ki chahat hain,

Zamaana dekhega sar ko jhukake us ghar ko,
K Tajushariya k jhande hame lagane hain.

 

🌀 KARBALA SHAREEF MEIN KYA HUA THA (in short)

1. Yazeed paleed jaise hi hukumat par aagaya usne haraam ko halaal karna shuru kardiya.

2. Ye baat jab Imam Hussain رضی اللہ تعالی عنہ tak pohonchi to aapne yazeed ki bait karne se inkaar kardiya.

3. Jiski wajeh se yazeed ne apko aur apke saath waalo ko shaheed karne ka hukm diya.

4. 7 Muharram se 10 Muharram tak Imam Hussain رضی اللہ تعلی عنہ ke Qafilah par paani band kardiya gaya.

5. 10muharram ko Imam Hussain رضی اللہ تعلی عنہ aur apke tamaam saathiyon ko shaheed kardiya gaya(انا للہ و انا الیہ راجعون).

6. Shahadat ke baad Imam Hussain رضی اللہ تعلی عنہ aur digar shaheedo ke Sar E Aqdas ko neze par uthakar bazaaro mein ghumaya gaya.

7. Karbala sharif mein sirf Imam Hussain رضی اللہ تعلی عنہ ke ek shahzade Imam Zainul Abideen رضی اللہ تعلی عنہ shaheed nahi huye the,jinke zariye hi Imam Hussain رضی اللہ تعالی عنہ ki Aal Qayamat tak chalegi.

🍂 📚 Tareek ul khulafa Imam Jalaluddin Suyuti,Al Bidaya wan nihaya Ibn Kaseer

 

popular posts

Leave a Comment