Yaro Kasam Allah Ki Is Moat Ki Daru Nahi Naat Lyrics
Yaro Kasam Allah Ki Is Moat Ki Daru Nahi
Farma Gaye Apne Nabi Is Moat Ki Daru Nahi
Lakho Hazaro Ambiya Paida Khudane Tha Kiya
Akhir Yehi Sab Ne Kaha Is Moat Ki Daru Nahi
Kuran Me He Sar Basar Dekho Ajizo Kar Najar
He Kullo Nafsin Me Khabar Is Moat Ki Daru Nahi
Jisko Khuda Ne Paida Kiya Wo Dost Akhir Muva
Bole Yehi Wakhte Kaja Is Moat Ki Daru Nahi
Tadbir Lakho Kijiye Nukhse Hazaro Pijiye
Be-Nafa-a He Sun Lijiye Is Moat Ki Daru Nahi
Charo Sahaba Ne Nabi Sidik Umar Usman Ali
Farma Gaye Woh Bhi Yehi Is Moat Ki Daru Nahi
Allah Baki He Aya Min Kullo Fani He Jaha
He Saf Kuran Me Baya Is Moat Ki Daru Nahi
Shaan e Ahle Bait # 3693.
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله ﷺ
⏩ Jab Imaam e Hussain Nainwa ke qareeb pohnche to ibne ziyad ka qaasid khat le kar aa gaya ke Hussain ko aage badhne se rok kar chatiyal maidan mein aesi jaga rok do jahan paani na ho aur khat laanewale ko hukm tha ke wahin ruk kar khabar dete raho k hukm par amal hota hai ke nahi Hur ne Aap ko khat dikhaya khat dekh kar Aap ke saathiyon ne kaha Ya Sayyedi in se jung kar lena aasaan hai isse pehle ke dusri fauj aur aajae magar Aap ne apni taraf se shuruaat nahi ki Hur khamosh raha kuch door aur chale ke Hur ke sipahiyon ne hukm diya ke bas yahin utar jayen Furaat yahan se dur nahi.
▶ Aap ne pucha ke kya naam hai is jaga ka jawab diya gaya Karbala naam hai aap naam sunte hi ghode se utar pade or farmaya
Ye Karbala Hai Karbo bala (dukh or musibat)
Yahin hamare oonton ke baithne ki jagah hai
Yahin hamare maalo asbab utrenge
Isi jagah par hamare saathi qatal kiye jaaenge
▶Ye muhaaram ki 2 taarikh jumeraat ka din tha
jab hur ne aap ko karbala me utarne par majboor kar diya to ibne ziyaad ko khabar kar di ibne ziyaad ne ibne saad ko 4000 fauj ke saath bhej diya aur phir faujiyon ki tadaad badhti rahi yahan tak ke 22,000 tak pohonch gayi..
▶Kitne tajjub ki baat hai ek taraf
82 nufuse qudsiya jin me aurten bacche bhi aur hathiyar bhi nahi aur dusri taraf 22000 magar Ali ke sheron ka aisa dabdaba tha ke jaante they ke agar ye ladne pe aa jayen to 10 guna se zyada nahi ham 100 guna se zyada honge to bhi ham kamzor pad jayenge isliye 200 guna se bhi zyada faujiyon ko jama kar liya is ke baa-wajud darte the isliye 500 faujiyon ko dariya e furaat par bhej diya ke Imaam e Hussain ke khemon mein paani ki ek bund bhi na jaaye.
▶Ibne ziyad ne ibne saad ko likha ke Hussain (رضي الله عنه) se bait ka mutalba karo Imam e Hussain رضي الله عنه ne ibne saad se mulaqat ke irade ka izhar kiya dono ki mulaqaat huwi to Aapne ibne saad se kaha
Mujhe kufa waaloñ ne bulaya to Maiñ aaya mera yahañ aana hukumat ko pasand nahi to jahan se aaya hu mujhe wahi chale jaane do, ya kisi border ke ilaaqe mein le chalo Maiñ apni zindagi wahi guzaar dunga.Ya Mujhe sidha yazeed ke paas damishq jaane do aur tum chaaho to Mere saath raho ke Maiñ yazeed se sidhe baat kar saku.
▶Aapka yeh rawaiya dekh kar ibne saad bhi narm pad gaya (dar asl ye ibne saad jiska naam umar ibne saad tha Sahaabi e Rasool Hazrate Saad ibne waqaas ka beta tha isliye Imame Hussain رضي الله عنه ke rutbe se waaqif tha yeh aapke muqable par aane ke liye tayyar hi na tha ibne ziyad ne dhamki di ke agar Imam ka muqaabla nahi karna ho to ray sheher ki hukumat chordh do bas kursi ki laalach ne ibne saad ko andha kar diya aur Imam ke muqable ke liye tayyar ho gaya Hazrat e Saad un 10 sahaaba mein se the jin ko Aaqa ne dunya mein hi jannat ki basharat de di thi)
ﷺ
رضي الله عنهم
*