Yaad E Mustafa Aisi Bas Gayi Hai Seene Me
Jism Ho Kahi Apna Dil Toh Hai Madine Me
Mere Kamli Wale Ka Ghar Tu Hai Madine Me
Haan Magar Wo Rehte Hain Ashiqon Ke Seenay Me
Kaun See Jagah Unke Aashiko Se Khali Hai
Har Jagah Hai Parwane Shamma Hai Madine Me
Tu Ne Pee Kitabon Se Mein Ne Pee Nigahon Se
Farq Itna Hai Ke Aray Tere Mere Peenay Me
Kash Un Ke Koochay Se Layen Yeh Saba Pegham
Chal Tujahy Bulatay Hain Mustufa Madine Me
Jab Se Mil Gaya Mujhko Na Khuda Madine Me
Lee Panah Tufan Ne Khud Mere Safine Me
Un Guullo Ki Khusbu Ka Zikr Karu Aaqa
Khuld Bhi Nahati Hai Aapke Pasine Me
Koan Hai Ye Deevana Kis Ka Hai Ye Deevana
Hashar Me Bhi Kehta Hai Jana Hai Madine Me
Khauf Na Kar Mehshar Ka Gum Na Kar Iqba Ka
Naam E Mustafa Likh Kar Daal Do Safine Me
Koan Hai Tera Rehbar Puuchha To Khizar Bole
Kali Kamli Walay Hai Rehtay Heyn Madine Me
Baad Mere Marne Ke Har Zubaan Pe Charcha Tha
Aadmi To Achha Tha Mar Gaya Madine Me
Baat Yeh Yakin Hai Ki Who Mujhe Bulayenge
Jaane Kaun Se San Me Jaane Kis Mahine Me