Ya Rabbe Muhammad Meri taqdeer jagade Naat Lyrics

Ya Rabbe Muhammad Meri taqdeer jagade Naat Lyrics

 

Ya Rabbe Muhammad Meri taqdeer jagade
Sehra-e-Madina Mujhe aankhon se dikha de

Pichha Mera duniya ki muhabbat se chhuda de
Ya Rabb Mujhe deewana Madine ka bana de

Rota hua jis waqt mein darbar mein pahunchun
Us waqt Mujhe jalwa-e-Mehboob dikha de

Dil Ishq-e-Muhammad mein tadapta rahe har dam
Sine ko Madina Mere Allah bana de

Behti rahe aksar shahe abrar ke gham mein
Roti hui wo aankh Mujhe Mere Khuda de

Imaan pe de maut Madine ki gali mein
Mudafan Mera Mehboob ke qadmon mein bana de

Allah karam itna gunahghar pe farma
Jannat mein padhosi Mere Aaqa ka bana de

Deta hun Tujhe waseta mein Pyare Nabi ka
Ummat ko Khudaya Rahe Sunnat pe chala de

Allah mile hajj ki isi saal sa’adat
Badkar ko phir Roza-e-Mehboob dikha de

Attar se Mehboob ki Sunnat ki le khidmat
Danka ye Tere Deen ka duniya mein baja de

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,593 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment