ya rab madine pak main jana nasib ho Naat Lyrics

ya rab madine pak main jana nasib ho Naat Lyrics

 

ya rab madine pak main jana nasib ho

jana nasib ho to na aana nasib ho

ya rab madine pak me………………….

 

rakhadu dare hujur pe jab main jabine shauk

chaukhat se unke sar na uthana nasib ho

ya rab madine pak me………………….

 

dar dar ki thokare hain jo mere nasib me

ishqe nabi me thokare khana nasib ho

ya rab madine pak me………………….

 

palko se chumta phiru kuae nabi ki khak

sine se jaliyo ko lagana nasib ho

ya rab madine pak me………………….

 

tayabah se aake bhi rahe tayabah ki aarzoo

tohfa yahi madine se lana nasib ho

ya rab madine pak me………………….

 

‘hafiz’ ke dil ki hai yahi khwahisho iltija

kadmo me mustfa ke thikana nasib ho

ya rab madine pak me………………….

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,601 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,004 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,764 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,629 views

Leave a Comment