Ya Nabi Ya Nabi Ka Wajifa Karo Naat Lyrics

या नबी या नबी का वज़ीफ़ा करो | तेरी चमकेगी क़िस्मत कभी न कभी / Ya Nabi Ya Nabi Ka Wazifa Karo | Teri Chamkegi Qismat Kabhi Na Kabhi

 

या नबी या नबी का वज़ीफ़ा करो
रंग लाएगी उल्फ़त कभी न कभी
आएँगे तेरे घर में मेरे मुस्तफ़ा
तेरी चमकेगी क़िस्मत कभी न कभी

सरवर-ए-दो-जहाँ रब के दिलदार का
दिल में अरमाँ है गर उन के दीदार का
आप सल्ले-‘अला पढ़ के सो जाइए
उन की होगी ज़ियारत कभी न कभी

इस में हम सुन्नियों को कोई शक नहीं
और अहल-ए-रज़ा को है कामिल यक़ीं
ज़र्रा-भर जिस के दिल में है ‘इश्क़-ए-नबी
वो भी जाएँगे जन्नत कभी न कभी

मैं लहद में कहूँगा नकीरैन से
सामने से हटो, देखने दो मुझे
रात-दिन कह रही थी मेरी ज़िंदगी
इन की देखेंगे सूरत कभी न कभी

पाँव माँ का दबाना तू मत छोड़ना
उन की ख़िदमत से हरगिज़ न मुँह मोड़ना
प्यारी माँ की दु’आओं के सदक़े तेरी
दूर होगी मुसीबत कभी न कभी

तेरे सर पे बलाओं का तूफ़ान है
इन दिनों तू बहुत ही परेशान है
रोज़ क़ुरआँ की घर में तिलावत करो
भाग जाएगी आफ़त कभी न कभी

शायर:
नदीम रज़ा फ़ैज़ी

ना’त-ख़्वाँ:
नदीम रज़ा फ़ैज़ी

 

ya nabi ya nabi ka wazeefa karo
rang laaegi ulfat kabhi na kabhi
aaenge tere ghar me.n mere mustafa
teri chamkegi qismat kabhi na kabhi

sarwar-e-do-jahaa.n rab ke dildaar ka
dil me.n armaa.n hai gar un ke deedaar ka
aap salle-‘ala pa.Dh ke so jaaiye
un ki hogi ziyaarat kabhi na kabhi

is me.n ham sunniyo.n ko koi shak nahi.n
aur ahl-e-raza ko hai kaamil yaqee.n
zarra-bhar jis ke dil me.n hai ‘ishq-e-nabi
wo bhi jaaenge jannat kabhi na kabhi

mai.n lahad me.n kahunga nakirain se
saamne se haTo, dekhne do mujhe
raat-din keh rahi thi meri zindagi
in ki dekhenge soorat kabhi na kabhi

paanw maa.n ka dabaana tu mat chho.Dna
un ki KHidmat se hargiz na munh mo.Dna
pyaari maa.n ki du’aao.n se sadqe teri
door hogi museebat kabhi na kabhi

tere sar pe balaao.n ka toofaan hai
in dino.n tu bahut hi pareshaan hai
roz qur.aa.n ki ghar me.n tilaawat karo
bhaag jaaegi aafat kabhi na kabhi

Poet:
Nadeem Raza Faizi

Naat-Khwaan:
Nadeem Raza Faizi
हिन्दी
ENG

 

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...245 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...131 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...111 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...106 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...99 views

Leave a Comment