ya-nabi-salaam-alaika-naat-lyrics

Sehar Ka Waqt Hai, Masoom Kaliyaan Muskurati Hain,

Hawwaein Khair E Maqtam Kay Taranay Gungunati Hain,

Farishtoon Ki Salami Denay Wali Fauj Gati Thi,

Janab E Amina Sunti Thein, Yeh Awaz Aati Thi,

Ya Nabi Salaam Alaika

Ya Rasul Salaam Alaika

Ya Habib Salaam Alaika

Salawaa Tullah Alaika

Baksh Do Jo Cheez Chaho

Kiu(n) Kay Mehboob-e-khuda Ho

Mustafa Ho Mujtaba Ho

Jo Kahuu(n) Ussay Siwa Ho

Jaa(n) Kani Ke Waqt Aana

Kalima – E – Tayyab Perhana

Makr E Shaitaa(n) Se Bachana

Apne Daaman Mai(n) Chhupaana

Waasta E Aale Aba Ka

Sadqa Hazrat Fatimah Ka

Aur Shaheed – E – Karbala Ka

Gham Na Ho Roz – E – Jaza Ka

Rehmatow(n) Ke Taj Waalay

Do Jahaan Ke Raaj Waalay

Arsh Ki Miraaj Waalay

Aansioo(n) Ke Laaj Waalay

Jaan Ker Kaafi Sahaara

Le Liya Hai Der Tumhara

Khalq Ke Waris Khudaraa

Low Salaam Ab To Hamara

Aye Shehenshah – E – Zamaana

Apka Ye Aastana

Rehmatow(n) Ka Hai Khazana

Ho Nigah – E – Meherbana

Aye Shehenshah – E – Madina

Noor Say Mamoor Sina

Mushk Say Behtar Pasina

Dekhlay(n) Hum Sub Madina

Aap Ka Tashreef Lana

Waqt Bhi Kitna Suhana

Jagmagaa Utha Zamana

Hoore Gaatihi Tarana

Itna Karam Shahe Zaman Ho

Khali Rooh Se Badan Ho

Aap Ke Shahr Ka Kafan

Aur Madine Mein Dafan Ho

Kab Woh Aeyga Mahina

Jab Chale Apna Safina

Su’ey Gulzare Madinah

Ya Mujhe Bas Saelina

Mustafa Khir Ul Wara Ho,

Sarware Har Do Sara Ho,

Apnay Achoon Ka Tasaduk,

Hum Badoon Ko Bhi Niba Ho

Ho Mubarak Ahle Imaan,

Ho Gayi Subhay Baharaan,

Ho Gaya Har Ghar Charaghan,

Swalawatullah Alaika.

Amina Bibi Ka Jaya,

Baharwi Tareekh Aaya,

Subhe Saadiq Nay Sunaya,

Swalawatullah Alaika

Hai Ye Hasrath Dar Pe Aye

Asqh Ke Darya Bahayen

Daag Seene Ke Dhikaayen

Saamne Ho Kar Sunaayen

Noori Jah Rab Ye Dua Kar

Ham Dare Maula Se Jaa Kar

Pehle Kuch Naate Suna Kar

Ye Padhen Sarko Juka Kar

Ranjo Gham Khaye Hue Hain

Door Se Aye Hue Hain

Tum Pe Itraye Hue Hain

Haat Payla Hue Hain

Waqth Ka Chamke Sitaara

Haazreen Ka Ishara

Dekh Kar Roza Pyara

Pir Padhen Khadim Thumhara

Jaan Kar Kafi Sahara

Leliya Hai Dar Thumara

Khalq Ke Wari Khudara

Yun Salam Ab Tho Hamara

Aap Shahe Insoja Hain

Bayishe Kounon Maqam Hai

Rahnuma Yeh Do Jahan Hain

Pesh Waye Mursila Hain

Noore Rabbul Aalameen Ho

Jalwa Haqqul Yaqeen Ho

Sarware Duniya Deen Ho

Dil Men Aankhon Men Makeen Ho

Baadshahe Anbiya Ho

Noore Zaathe Kibriya Ho

Haamiye Rouze Jaga Ho

Khalq Ke Mushqil Kusha Ho

Arshe Azam Par Thumeen Ho

Khalq Ke Rahbar Thumeen Ho

Saaqiye Kausar Thumeen Ho

Shafaye Mahshar Thumeen Ho

Teri Aarzoo Men Jeena

Teri Justju Men Marna

Yehi Meri Zindagi Hai

Yehi Meri Bandagi Hai

Door Rahe Gham Ka Kinaara

Sarware Aalam Khudara

Deejiye Jaldi Sahara

Paar Ho Beda Hamaara

Mere Maula Mere Sarwar

Hai Yahi Armaane Akbar

Pehle Qadmon Par Rakhen Sar

Pir Kahen Yeh Sar Utha Kar

Akbare Shahzad Thumara

Pir Raha Hai Mara Mara

Jabaja Thumko Pukhara

Iski Ab Sunlo Khudara

Asiqhe Mayil Ki Sunlo

Baaniye Mahfil Ki Sunlo

Samayeen Ke Dil Ki Sunlo

Akbare Bismil Ki Sunlo

Chor Kar Daaman Tumhaara

Aur Le Kis Ka Sahaara

Kaun Hai Daata Hamaara

Kis Ke Dar Pe Ho Guzaara

Aap Ke Dar Ki Faqiri

Do Jahaa(n) Ki Hai Amiri

Ab Aa Gaya Waqte Piri

Kijiyo Lillaah Dastgiri

Puri Ya Rabb, Yeh Dua Kar

Ham Dare Maula Pe Jaakar

Pehle Kuch Na’atei(n) Suna Kar

Phir Parhei(n) Sar Ko Jhuka Kar

Laaein Jo Imaan Tum Par

Kyun Na Dein Woh Jaan Tum Par

Maherbaan Rehmaan Tum Par

Khalq Sab Qurbaan Tum Par

Hijr Mein Mushkil Hai Jina

Dil Hua Chaak Aur Sina

Thaamiye Mera Safina

Ya Shaafi Al Muznabina

Kaash Haasil Ho Huzoori

Door Ho Jaaey Yeh Duri

Dil Ki Yeh Hasrat Ho Puri

Dekh Loon Woh Shakle Noori

Dil Mein Tum Masnad Nasheen Ho

Is Makaan Ke Tumhi Makeen Ho

Ham Marein To Woh Zameen Ho

Aur Sirhaane Bhi Tum Hi Ho

Nooh Ke Tum Naakhuda Ho

Khalq Ke Mushkil Kusha Ho

Sab Ke Tum Haajat Rawa Ho

Jo Kahoon Us Se Siwa Ho

Bakhsh Do Meri Khataaein

Door Ho Gham Ki Ghataaein

Bhej Do Apni Ataaein

Wajd Mein Ham Yoon Sunaaein

Hashr Mein Tum Bakhswaana

Jab Kaheen Na Ho Thikaana

Apne Daaman Mein Chupaana

Har Musibat Se Bachaana

Jaan Kani Ke Waqt Aana

Kalimaaey Tayyab Padhana

Chehraaey Anwar Dikhaana

Ham Ko Imaan Par Uthaana

Aey Shafi-aey Roze Mehshar

Hai Siyaah Isyaan Se Daftar

Ghaus Ka Sad’qah Karam Kar

Chash’me Dil Ko Kar Ke Munawwar

Aey Saba Roze Pe Jaana

Daste Basta Yeh Keh Sunaana

Ya Nabi Dar Pe Bulaana

Aur Jalwaae Zeba Dikhaana

Fakhre Adam Fakhre Hawwa

Fakhre Nooho Fakhre Yahya

Fakhre Ibrahimo Musa

Fakhre Ismailo Isa

Aey Shahenshaahe Risaalat

Hai Yahaan Jo Ahl-e Sunnat

Daaey-mi Sab Par Ho Rehmat

Baaniye Mehfil Pe Barkat

Assalaam Aey Jaane Aa’lam

Assalaam Imaane Aa’lam

Shaahe Dee(n) Sultaane Aa’lam

Tum Se Hai Samaane Aa’lam

Assalaam Aey Shaahe Aa’lam

Assalaam Ummat Ke Waali

Jholi Reh Jaaey Na Khaali

Arz Karte Hain Sawaali

Katra Katra Darya Darya

Dharra Dharra Tara Tara

Jab Hue Sarkar Paida

Sara Aalam Kah Raha Tha

Hashr Main Sab Ik Kinare

Ummati Thay Dam Ko Maare

Agaye Jab Wo To Saare

Dekh Kar Un Ko Pukarein

Ik Jhalak Jo Dekh Paon

Jaan Mein Tum Par Lutaon

Raah Main Ankhein Bichaon

Dast Basta Pir Sunaon

Naib-e-ashaab-o-sarwar

Pehle Hein Siddiq-e-akbar

Pir Umr Uthman-o-haider

Beyjiyay Salaam In Par

Deen-e-haq Ki Dhaal Donon

Hein Yeh Be Missal Donon

Fatimah Kay Laal Donon

Mustafa Kee Aal Donon

Is Jahan Se Jab Safar Ho

Roo-e-pak Par Nazar Ho

Yeh Karam Naseer Par Ho

Us Ka Sar Ho Tera Dar Ho

As Salaam Aye Sabz Gumbad Ke Makeeen

As Salaam Ya Rahmatallil Aalameen

As Salaam Aye Sub Rasulown Ke Rasul

Ye Salaam – E – Aajizana Ho Qubool

Ya Illahi Waasta

Aalay Rasul

Ye Salaam – E – Aajizana

Ho Qubool

 

popular posts

Leave a Comment