Ya Nabi Salaam Alaika Lyrics (Aap Hai Mehboob E Aalam)
Ya Nabi Salaam Alaika (Aap Hai Mehboob E Aalam)
Ya Nabi Salaam Alaika
Ya Rasool Salaam Alaika
Ya Habeeb Salaam Alaika
Salawatullah Alaika
Aap Hai Mehboob E Aalam
Mazhare Rehmat Mujassam
Aap Par Qurbaa(n) Rahe Hum
Wird Rakhte Hai Ye Har Dum
Bakht Gar Bedaar Hota
Khwab Mein Deedaar Hota
Sadqe Main Sau Baar Hota
Mere Oopar Pyaar Hota
Mar Raha Hu Mai Jilaa Do
Shakl Noorani Dikha Do
Ambaree(n) Zulfein Sungha Do
Apna Shaidaayi Bana Do
Hashr Ke Din Kaam Aana
Naare Dozakh Se Bachaana
Rauza E Rizwaa(n) Dikhaana
Saagar E Kausar Pilaana
Ashrafi Shaida Tumhara
Kar Ke Duniya Se Kinaara
Rakhta Hai Tum Se Sahaara
Lo Khabar Jaldi Khudara
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views