WOH UBLĀ CHASHMA SHARBAT KĀ

WOH UBLĀ CHASHMA SHARBAT KĀ
Lab-e-Kawthar Hai Maila Tishna KāMān-e-Muhabbat Kā
Woh Ublā Dast-e-Sāqi Sai Woh Ubla Chashma Sharbat Kā
Yai Ālam Ambiyā Par Unn Kai Sarwar Kī Ināyat Kā
Jisai Daikho Liyea Jātā Hai Parwāna Shafā’at Kā
Pilā Dai Apnī NazrouN Sai Chalaktā Jām Rūyat Kā
Shah-e-Kousar Tarahhum Tishna Jātā Hai Ziyārat Kā
Wohī Jo Rehmat ul Lil Ālamīn HaiN Jān-e-Ālam HaiN
Barra Bhai’ee Kahāi Unn Ko Koī Andha Basīrat Kā
Mah-o-Khurshīd-o-Anjum Mai Chamak Apnī Nahī Kuch Bhī
Ujālā Hai Haqīqat Mai UnhīN Kī Pāk Tal’at Kā
Bhataktā YūN Phirrai Kab Tak Tumhāra Akhtar-e-Khasta
Dikhā Dou Rāsta Iss Ko Khūdārā Shehr-e-Ulfat Kā

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,083 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,282 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,530 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,468 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,248 views

Leave a Comment