उन की चौखट हो तो कासा भी पड़ा सजता है / Un Ki Chaukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai | Un Ki Chokhat Ho To Kasa Bhi Para Sajta Hai

उन की चौखट हो तो कासा भी पड़ा सजता है / Un Ki Chaukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai | Un Ki Chokhat Ho To Kasa Bhi Para Sajta Hai
उन की चौखट हो तो कासा भी पड़ा सजता है
दर बड़ा हो तो सवाली भी खड़ा सजता है

ऐसा आक़ा हो तो लाज़िम है ग़ुलामी पे ग़ुरूर
ऐसी निस्बत हो तो फिर बोल बड़ा सजता है

ताज-ए-शाही के मुक़द्दर में ये ज़ेबाई कहाँ
जिस क़दर उन की ग़ुलामी का कड़ा सजता है

ये ग़ुलामी कहीं कमतर नहीं होने देती
उन का नौकर हो तो शाहों में खड़ा सजता है

कान में हुर्र के मुक़द्दर ने ये सरगोशी की
तू नगीना है, अँगूठी में जड़ा सजता है

सरवर-ए-दीं के मुसल्ले पे ख़ुदा जानता है
मुर्तज़ा पीछे हो, सिद्दीक़ खड़ा सजता है

सरवर-ए-दीं के मुसल्ले पे ख़ुदा जानता है
आगे असहाब के सिद्दीक़ खड़ा सजता है

जब ‘अता करने पे बैठें हों ‘अली-ओ-सय्यिदा
फिर तो जन्नत के लिए कोई अड़ा सजता है

मौला शब्बर से ख़ुदा जाने सख़ी महदी तक
गुलशन-ए-ज़हरा का हर फूल बड़ा सजता है

मुझ से कहते हैं यही अहल-ए-मोहब्बत, सरवर !
ना’त का नग़्मा तेरे लब पे बड़ा सजता है

शायर:
सरवर हुसैन नक़्शबंदी

ना’त-ख़्वाँ:
सरवर हुसैन नक़्शबंदी
मुहम्मद आ’ज़म क़ादरी
क़ारी शाहिद महमूद क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी
सय्यिद हस्सानुल्लाह हुसैनी

 

un ki chaukhaT ho to kaasa bhi pa.Da sajta hai
dar ba.Da ho to sawaali bhi kha.Da sajta hai

aisa aaqa ho to laazim hai Gulaami pe Guroor
aisi nisbat ho to phir bol ba.Da sajta hai

taaj-e-shaahi ke muqaddar me.n ye zebaai kahaa.n
jis qadar un ki Gulaami ka ka.Da sajta hai

ye Gulaami kahi.n kamtar nahi.n hone deti
un ka naukar ho to shaaho.n me.n kha.Da sajta hai

kaan me.n hurr ke muqaddar ne ye sargoshi ki
tu nageena hai, angoothi me.n ja.Da sajta hai

sarwar-e-dee.n ke musalle pe KHuda jaanta hai
murtaza peechhe ho, siddiq kha.Da sajta hai

sarwar-e-dee.n ke musalle pe KHuda jaanta hai
aage as.haab ke siddiq kha.Da sajta hai

jab ‘ata karne pe baiThe.n ho.n ‘ali-o-sayyida
phir to jannat ke liye koi a.Da sajta hai

maula shabbar se KHuda jaane saKHi mahdi tak
gulshan-e-zahra ka har phool ba.Da sajta hai

mujh se kehte hai.n yahi ahl-e-mohabbat, Sarwar !
naa’t ka naGma tere lab pe ba.Da sajta hai

Poet:
Sarwar Hussain Naqshbandi

Naat-Khwaan:
Sarwar Hussain Naqshbandi
Muhammad Azam Qadri
Qari Shahid Mahmood Qadri
Asad Raza Attari
Syed Hassan Ullah Hussaini

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,593 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment