Un Ke Karam Se Kaam Sara Ho Gaya

उन के करम से काम सारा हो गया / Un Ke Karam Se Kaam Sara Ho Gaya
उन के करम से काम सारा हो गया
सब्ज़ गुंबद का नज़ारा हो गया

कर लिया अल्लाह ने उस को पसंद
जो मेरे आक़ा का प्यारा हो गया

नाम-ए-नामी मुस्तफ़ा सल्ले-‘अला
बे-सहारों का सहारा हो गया

जिस ने देखा रौज़ा-ए-पुरनूर को
उस को जन्नत का नज़ारा हो गया

चाँद दो टुकड़े हुआ, सूरज फिरा
उन की उँगली का इशारा हो गया

मोहसिन-ए-‘आसी ! यक़ीं है क़ब्र में
वो कहेंगे तू हमारा हो गया

ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद मोइज़ अशरफ़ी

 

un ke karam se kaam saara ho gaya
sabz gumbad ka nazaara ho gaya

kar liya allah ne us ko pasand
jo mere aaqa ka pyaara ho gaya

naam-e-naami mustafa salle-‘ala
be-sahaaro.n ka sahaara ho gaya

jis ne dekha rauza-e-purnoor ko
us ko jannat ka nazaara ho gaya

chaand do Tuk.De huaa, sooraj phira
un ki ungli ka ishaara ho gaya

Mohsin-e-‘aasi ! yaqee.n hai qabr me.n
wo kahenge tu hamaara ho gaya

Naat-Khwaan:
Syed Moiz Ashrafi

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment