हुसैन तुम को ज़माना सलाम कहता है / Hussain Tum Ko Zamana Salam Kehta Hai

हुसैन तुम को ज़माना सलाम कहता है / Hussain Tum Ko Zamana Salam Kehta Hai
हुसैन ! तुम को ज़माना सलाम कहता है

तुम्हारे सज्दे को का’बा सलाम कहता है
जलाल-ए-क़ुब्बा-ए-ख़ज़रा सलाम कहता है
चमन का हर गुल-ओ-ग़ुंचा सलाम कहता है
हुसैन ! तुम को ज़माना सलाम कहता है

हुसैन ! तुम को ज़माना सलाम कहता है

चराग़-ओ-मस्जिद-ओ-मिम्बर सलाम कहते हैं
नबी, रसूल-ओ-पयम्बर सलाम कहते हैं
‘अली-ओ-फ़ातिमा, शब्बर सलाम कहते हैं
ख़ुदा गवाह कि नाना सलाम कहता है

हुसैन ! तुम को ज़माना सलाम कहता है

ख़ुदा की राह में सर को कटा दिया तुम ने
नबी के दीन पे घर को लुटा दिया तुम ने
निशान-ए-कुफ़्र को यकसर मिटा दिया तुम ने
तुम्हें ख़ुदा भी तुम्हारा सलाम कहता है

हुसैन ! तुम को ज़माना सलाम कहता है

तुम्हें फ़लक के सितारे सलाम कहते हैं
तुम्हें क़ुरआन के पारे सलाम कहते हैं
तुम्हें हरम के मिनारे सलाम कहते हैं
इमाम ! तुम को मदीना सलाम कहता है

हुसैन ! तुम को ज़माना सलाम कहता है

सना तुम्हारी वज़ीफ़ा है मेरा आबाई
तुम्हारी मद्ह तो शेवा है मेरा, मौलाई !
बस इक नज़र हो जो मुझ पर तो मेरी बन आई
तुम्हारा सय्यिद-ए-शैदा सलाम कहता है

हुसैन ! तुम को ज़माना सलाम कहता है

शायर:
सय्यिद शाह आल-ए-मुस्तफ़ा सय्यिद मियाँ मारहरवी

ना’त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ बिलाल क़ादरी
साहिल रज़ा क़ादरी

 

husain ! tum ko zamaana salaam kehta hai

tumhaare sajde ko kaa’ba salaam kehta hai
jalaal-e-qubba-e-KHazra salaam kehta hai
chaman ka har gul-o-Guncha salaam kehta hai
husain ! tum ko zamaana salaam kehta hai

husain ! tum ko zamaana salaam kehta hai

charaaG-o-masjid-o-mimbar salaam kehte hai.n
nabi, rasool-o-payambar salaam kehte hai.n
‘ali-o-faatima, shabbar salaam kehte hai.n
KHuda gawaah ki naana salaam kehta hai

husain ! tum ko zamaana salaam kehta hai

KHuda ki raah me.n sar ko kaTa diya tum ne
nabi ke deen pe ghar ko luTa diya tum ne
nishaan-e-kufr ko yaksar miTa diya tum ne
tumhe.n KHuda bhi tumhaara salaam kehta hai

husain ! tum ko zamaana salaam kehta hai

tumhe.n falak ke sitaare salaam kehte hai.n
tumhe.n qur.aan ke paare salaam kehte hai.n
tumhe.n haram ke minaare salaam kehte hai.n
imaam ! tum ko madina salaam kehta hai

husain ! tum ko zamaana salaam kehta hai

sana tumhaari wazeefa hai mera aabaai
tumhaari mad.h to shewa hai mera, maulaai !
bas ik nazar ho jo mujh par to meri ban aai
tumhaara Sayyid-e-shaida salaam kehta hai

husain ! tum ko zamaana salaam kehta hai

Poet:
Sayyid Shah Aal-e-Mustafa Sayyid Miyan Marahravi

Naat-Khwaan:
Hafiz Bilal Qadri
Sahil Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,859 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...891 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...668 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...514 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...463 views

Leave a Comment