TUMHARE DAR PE JO MAIN BAARYAAB HO JAUN NAAT LYRICS

TUMHARE DAR PE JO MAIN BAARYAAB HO JAUN NAAT LYRICS

 

Tumhare dar pe jo main baaryaab ho jaun…
Qasam khuda ki shaha kaamyaab ho jaun!!!

Jo paun boosa e paaye huzor kya kehna…
Main zarra shams o qamar ka jawaab ho jaun!!!

Meri haqeeqat e fani bhi kuch haqeeqat hai…
Marun jo aaj khayaal o khawaab ho jaun!!!

Jahan k qos e quzah se fareeb khayein kyun…
Main apne qalb o nazar ka hijaab ho jaun!!!

Jahan ki bigdi usi aastaan se banti hai…
Main kyun na waqf e dar eaan janaab ho jaun!!!

Tumhara naam liya hai talatum e gam mein…
Main ab to paar risalat ma aab ho jaun!!!

Ye meri duri badal jaye qurb se AKHTAR…
Agar wo chahein to main baaryaab ho jaun!!!

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,150 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,929 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,587 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,037 views

Leave a Comment