Tum Se Jo Gurayzaan He Farzana Wo Diwana Lyrics
Tum Se Jo Gurayzaañ He Farzana, Wo Diwana
Shaida Jo Huwa Tum Par Diwana, Wo FarzanaAa Jaa Dil e Weeraañ Me, Tera Ho Ye Kaashana
Lil’llah Karam Farma Ay Jalwa e Jaanana
Aankhoñ Se Pila Wo May, Sarmast Rahuñ Jis Se
Bharde Mera Paimaana Ay Saaqi e Maikhaana
Wo Abr e Bahaar Aaya Har Shay Pe Nikhaar Aaya
Laa Jald Mere Saaqi De Saaghar o Paimaana
Kya Raat Ke Parde Se Chupke Se Sahar Nikli
Ya Jaan e Dil-aara Ne Zulfoñ Me Kiya Shaana
Badkaar Sahi Lekin, Banda Huñ Tere Dar Ka
Mahroom Na Rakh Mujh Ko Ay Shaan e Karimaana
Yuñ Thaam Ke Daaman Ko Machla He Sar e Mahshar
Dekhe Ko-ee Akhtar Ka Ye Naaz e Ghulamaana
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...818 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...528 views