TUM RAB KA INTEKHAB HO, IZZAT MA’AAB HO NAAT LYRICS

TUM RAB KA INTEKHAB HO, IZZAT MA’AAB HO NAAT LYRICS

 

Tum Rab Ka Intekhab Ho, Izzat Ma’aab Ho,
Be Misal Be Misal, Haseen La Jawab Ho,

Ankhe Habib E Paak Ki, Irfan Ka Jaam Hai,
Saree Khudaai Jis Se, Hui Shaad Kaam Kaam Hai,
Naza Hai Husn Jis par Wo Husnul Ma’aab Ho
Be Misal Be Misal, Haseen La Jawab Ho,

Labhaye Paak Laale, Yaman Lajaaye Hai,
Wannajm Daat Rabne Kaise Sajaaye Hai,
Hoore Jina Bhi Dang, Hai Wo Aaftaab Ho,
Be Misal Be Misal, Haseen La Jawab Ho,

Daste Karam Tumahare, Daryaa E Jood Hai,
ALLAH Ke Khajano Ka, Jis Mein Wajood Hai,
Khali Na Jaaye Koi, Ke Jaan E Ijaab Ho,
Be Misal Be Misal, Haseen La Jawab Ho,

Esa Ki Ho Navedey, Dua E Khalil Ho,
Mehbat Ka Gul Ho Aur, Khuda Ki Dalil Ho,
Dekha Tha Aamina Ne, Darakhsha Wo Khwab Ho,
Be Misal Be Misal, Haseen La Jawab Ho.

Quran Jis Ki Shaan Mein, Ratbul Nisaan Hai,
Wal’lail Khaire Alf, Khuda Ka Bayan Hai,
Mushtaq Jis Ka Rab Hai, Tum Aisi Janab Ho,
Be Misal Be Misal, Haseen La Jawab Ho.

Afkaar Sajda Reyz Hai, Alfaaz Hai Khatam,
Lik’khu Mai Tum Ko Kya Mera, Chalta Nahi Kalam.
Unwaan Sab Khatam Hai, Tum Aisi Kitaab Ho,
Be Misal Be Misal, Haseen La Jawab Ho,

Sayyed Amin Aapka, Adna Gulam Hai,
Shayar Nahi Hai Phir Bhi, Likha Ye Kalam Hai.
Ho Ishq Mein Fana Yu, Ke Jal Kar Kabab Ho,
Be Misal Be Misal, Haseen La Jawab Ho.

Popular Posts

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...759 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...600 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...433 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...365 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...322 views

Leave a Comment