tay kar raha hai jo tu din ka safar hai lyrics

Duniya ke ae musafir Manzil teri kabar hai Lyrics

Roman(ENG):

Duniya ke Aye Musafir ! Manzil Teri qabar hai
Tay kar raha hai jo Tu, Do Din ka ye safar hai

Jab se bani hai Duniya, Lakhon karodon aaye
Baqi raha na koi, mitti mein sab smaaye
Is baat ko na bhulo sab ka yahi hashar hai
Manzil Teri qabar hai

Duniya ke Aye Musafir !

Ye aalishan bangale, kisi kaam ke nahi hai
Mehlon mein sone waale, mitti mein so rahe hai
Do gaz zamee.n ka tukda, chhota sa Tera ghar hai
Manzil Teri qabar hai

Duniya ke Aye Musafir !

Ankho.n se Tune Apni dekhe kai janaaze
Hatho.n se Tune apne dafnaae kitne murde
Anjaam se Tu apne kyu.n itna be-khabar hai
Manzil Teri qabar hai

Duniya ke Aye Musafir !

Duniya ke Aye Musafir ! Manzil Teri qabar hai
Tay kar raha hai jo Tu, Do Din ka ye safar hai

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,197 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,933 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,601 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,056 views

Leave a Comment