Tamanna Hai Mere Maula Dayare Mustafa Dekhun Lyrics

दयार ए मुस्तफ़ा देखुन…

Madina… Madina…
Madina… Madina…

Mujhe Makke-Madine jaana hai…
Mujhe Maula Madine jaana hai…

Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Sunu labaaik ke nagme… Haram ki paak waadi me…
Dar-e-khairul waraa par… Ashiqon ka jhumna dekhu..
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Mazaar-e-Hazrat e Hamza… Ko bhi dekhe meri ankhe..
Dayaar-e-Aaesha dekho… Mazaar e Fatima dekhu…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar…Kabhi to ya khuda dekhu…

Tere mahboob jis gumbad… Ke niche jalwa farma hai…
Hai jispar arsh bhi naaza… Mai wo gumbad hara dekho…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Basar ho ya khuda kuch… Istarah se zindagi meri…
Sahar me ka’aba dekhu… Shaam me gumbad hara dekhu…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Jahaan araam farma hai… Sahaba mere aaqa ke…
Tamanna hai mere maula… Wo manzar badr ka dekhu…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Mai chumu gumbad e khazra… Ke jis dam jaaliyaan aasim..
Khuda se hai dua us-dum… Jamal e mustafa dekhu…
Tamanna hai mere maula… Dayar e mustafa dekhu…
Mai ka’abe ka haseen manzar… Kabhi to ya khuda dekhu…

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,568 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,829 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,732 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,189 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,895 views

Leave a Comment