takdir muje lai sarkar ke roze par Naat Lyrics

takdir muje lai sarkar ke roze par Naat Lyrics

 

 

takdir muje lai sarkar ke roze par

bigari meri ban aai sarkar ke roze par

 

kabe ki ziyarat se aankho ko kiya roshan

taskin magar pai sarkar ke roze par

taqdir muje lai sarkar ke ………………….

 

mahbub ke roze ki jis ne bhi ziyarat ki

bakhshish ki sanad pai ke roze par

takdir muje lai sarkar ke …………………….

 

din raat chamakate hain tayabah ke gali kuche

rahmat ki dhhata chhai sarkar ke roze par

takdir muje laai sarkar ke ………….

 

Kitna hun main khush kismat maula ki hui rahmat

Barish muje dikhalai sarkar ke roze par

Taqdir muje lai sarkar ke ………………….

 

Parhate hain darud un par ro ro ke salam un par

Sarkar ke shaidai sarkar ke roze par

Taqdir muje lai sarkar ke ……………

Ae kash madine main behal ko sab kehade

Hain isne kaza pai sarkar ke roze par

Taqdir muje lai sarkar ke

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment