SYED-E-KONAIN SULTAN-E-JAHAN NAAT LYRICS

SYED-E-KONAIN SULTAN-E-JAHAN NAAT LYRICS

 

SYED-E-KONAIN, SULTAN-E-JAHAA(N)
ZILL-E-YAZDAA(N), SHAH-E-DEE(N), ARSH AASTAA(N)

KUL SE A’ALA, KUL SE AULA, KUL KI JAA(N)
KUL KE AAQA, KUL KE HADI, KUL KI SHAA(N)

DIL KUSHA, DIL KASH, DIL AARA, DIL SITAA(N)
KAAN-E-JAAN-O-JAAN-E-JAAN-O-SHAAN-E-SHAA(N)

HAR HIKAYAT, HAR KIYANAT, HAR ADAA
HAR ISHARAT, DIL NASHEEN-O-DIL NISHAA(N)

DIL DE, DIL KO JAAN, JAA(N) JO NOOR DE
AEY JAHAAN-E-JAAN-O-AEY JAAN-E-JAHAA(N)

AANKH DE, AUR AANKH JO DIDAAR-R-NOOR
ROOH DE AUR ROOH KO RAAH-E-JINNA(N)

TU SANNA KO HAI, SANNA TERAY LIYE
HAI SANNA TERI HI DEEGAR DAASTAA(N)

TU NA THA TOU KUCH NA THA, GAR TU NA HO
KUCH NA HO, TU HO TO HAI JAAN-E-JAHAA(N)

TU HAI DAATA, AUR AURO(N) SE RAJAA
TU HO AAQA, AUR YAAD-E-DIGARAA(N)

ILTIJA ISS SHIRK-O-SHAR SE DOOR RAKH
HO RAZA TERA HI, GAYR AZ EEN-O-AA(N)

JIS TARHA HONT ISS GHAZAL SE DOOR HAIN
DIL SE YUN HI DOOR HO HAR ZINN-O-ZAA(N)

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,193 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,445 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,544 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,502 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,273 views

Leave a Comment