Soz e Dil Chahiye Chashm e Nam Chahiye Lyrics

Soz e Dil Chahiye Chashm e Nam Chahiye Lyrics

 

Soz e dil chahiye chashm e nam chahiye,
aur shouq e talab mautabar chahiye
Ho mayassar madeenay ki galya agar,
ankh kaafi nahi hai nazar chahiye

Unki mehfil ke aadaab kuch aur hain,
lab kushayi ki jurrat munasib nahi
Unki Sarkar me iltija ke liye,
jumbish e lab nahi chashm e tarr chahiye

Apni roodad e gham me sunau kisay,
mere dukh ko koi aur samjhe ga kya
Jinki khak e qadam bhi hai khake shifa,
mere zakhmo ko wo charagar chahiye

Raunaqain zindagi ki buhat dekh li,
Ab mai ankhon ka apni karunga bhi kya
Ab na kuch deedni hai na kuch guftani,
mujhko Aaqa ki bas ek nazar chahiye

Mai gada e dar e Shahe kaunain hoon,
sheesh mehlon ki mujh ko tamanna nahi
Ho mayyaser zamin per ke zer e zameen, mujhko Taiba me ek apna ghar chahiye

In naye rasto ki nayi raushni,
humko raas ayi hai aur na raas ayegi
Hum ko khoyi hui raushni chahiye,
humko aayin e khair ul bashar chahiye

Gosha gosha Madinay ka pur noor hai,
sara mahol jalwon se mamoor hai
Shart yeh hai ke zarf e nazar chahiye,
daikhnay ko koi deedawar chahiye

Midhat e shah e kouno makaan ke liye,
sirf lafzon bayaan ka sahara na lo
Fann e Sheri hai Iqbal apni jaga,
naat kehnay ko khoon e jigar chahiye

Leave a Comment