Sochta Hoon Main Wo Ghari Kya Ajab Ghari Hogi Lyrics

Sochta Hoon Main Wo Ghari Kya Ajab Ghari Hogi Lyrics

 

 

Sochta Hun Main Wo Ghadi Kya Ajab Ghadi Hogi
Jab Dar-E-Nabi Par Ham Sab Ki Haazri Hogi

Aarzoo Hai Seene Men Ghar Bane Madine Men
Ho Karam Jo Bande Par Banda-Parwari Hogi

Kibriya Ke Jalwon Se Kya Samaan Bandha Hoga
Mehfil-E-Nabi Jis Dam ‘Arsh Par Saji Hogi

Baat Kya Hai ! Baad-E-Saba Itni Kyun Mu’attar Hai
Sabz-Sabz Gumbad Ko Choom Kar Chali Hogi

Sau Khulenge Us Ke Liye Rahmaton Ke Darwaaze
Naa’t-E-Mustafa Jis Ne Ek Bhi Suni Hogi

Ek Hi Nishaani Hai Mustafa Ke Mai-Kash Ki
Mustafa Ke Mai-Kash Ki Aankh Madh-Bhari Hogi

Naam-E-Mustafa Ki Qasam Pur-Sukoon Hun Main Ab Tak
Tum Bhi Naam Lo Un Ka Ghar Men Shaanti Hogi

Dekh To Niyazi ! Zara So Gaya Kya Deewaana
Un Ki Yaad Men Shaayad Aankh Lag Gai Hogi

 

Sochta Hoon Main Wo Ghari Kya Ajab Ghari Hogi Lyrics

 

सोचता हूँ मैं वो घड़ी, क्या अजब घड़ी होगी
जब दर-ए-नबी पर हम सब की हाज़री होगी

आरज़ू है सीने में, घर बने मदीने में
हो करम जो बंदे पर, बंदा-परवरी होगी

किब्रिया के जल्वों से क्या समाँ बँधा होगा
महफ़िल-ए-नबी जिस दम ‘अर्श पर सजी होगी

बात क्या है ! बाद-ए-सबा इतनी क्यूँ मु’अत्तर है
सब्ज़-सब्ज़ गुंबद को चूम कर चली होगी

सौ खुलेंगे उस के लिए रहमतों के दरवाज़े
ना’त-ए-मुस्तफ़ा जिस ने एक भी सुनी होगी

एक ही निशानी है मुस्तफ़ा के मय-कश की
मुस्तफ़ा के मय-कश की आँख मध-भरी होगी

नाम-ए-मुस्तफ़ा की क़सम, पुर-सुकूँ हूँ मैं अब तक
तुम भी नाम लो उन का, घर में शांती होगी

देख तो, नियाज़ी ! ज़रा, सो गया क्या दीवाना
उन की याद में शायद आँख लग गई होगी

शायर:
मौलाना अब्दुल सत्तार नियाज़ी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाजी अब्दुल हबीब अत्तारी

  • Hazrat Qaazi Hameed-ud-deen Mohammad Nagori Biography
  • Hazrat Sayyed Bedam Shah Waarṡi Biography
  • Hazrat Shaikh Abul Hasan Sirri al-Saqati Biography
  • Hazrat Ali UL-Murtaza Maula E Kaainat | HAZRAT ALI IBE ABI TALIB Biography
  • Hazrat Sayyed Akmal Husain Biography
  • Hazrat Khwaja Baayazeed Tayfoor Bastami Biography
  • Hazrat Sayyed Mohammad Khaalid Shaah Chishti Biography

 

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...322 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...185 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...165 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...158 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...153 views

Leave a Comment