Shah E Arsh E Aala Salamun Alaikum Lyrics

Shah E Arsh E Aala Salamun Alaikum Lyrics

 

 

Shah e Arsh e Aala Salamun Alaikum
Habeeb e Khudaaya Salamun Alaikum

Mere Maah e Taiba Salamun Alaikum
Shahenshah e Batha Salamun Alaikum

Khabar Jin Ke Aane Ki Thi Muddato Se
Huwa Jalwa Farma Salamun Alaikum

Jo Tashrif Laye Wo Sultan e Aalam
To Kaaba Pukara Salamun Alaikum

Do Aalam Ka Aaqa o Maula Banaakar
Tumhe Haq Ne Bheja Salamun Alaikum

Ye Aawaz Har Simt Se Aa Rahi He
Shah e Deen o Duniya Salamun Alaikum

Tamanna Hai Apni Madine Pahonch Kar
Kahoon Paish Roza Salamun Alaikum

Dua Hai Ke Jab Waqt Ho Jaangni Ka
Ho Lab Par Wazifa Salamun Alaikum

Jameel Apne Aaqa Shafi-ul-Umam Par
Padheja Hamesha Salamun Alaikum

Shah e Arsh e Aala Salamun Alaikum
Habeeb e Khudaaya Salamun Alaikum

Salato Salam Lyrics: Shah e Arsh e Aala Salamun Alaikum Lyrics
Salato Salam Written By: Maulana Jameel ur Rehman Qadri..

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,227 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,636 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,524 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,041 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,793 views

Leave a Comment