Sayyad Ne Karbala Me Waade Nibha Diye Hai Lyrics

Hazrat Imam Hussain alayhis salam aur shuhada e Karbala ki azeem qurbaniyon ko yaad karna har momin ke dilon me jazba e imaan ko taaza karta hai.
Yeh nihayat hi dil-soz aur mashhoor manqabat ‘Sayyad Ne Karbala Me Waade Nibha Diye Hain’ Karbala ke maidan me deen e Islam ki khatir sab kuch luta dene ke jazbe ko bayan karti hai.
Aaiye is mubarrak aur muqaddas manqabat ko nihayat hi aqeedat aur adab ke sath padhein.

Naat InformationDetails
Naat TitleSayyad Ne Karbala Me Waade Nibha Diye Hai
Poet / WriterHafiz
CategoryManqabat / Noha Lyrics
Naatkhawan / ReciterVarious Reciters

Naat Lyrics in Roman

Sayyad Ne Karbala Me Waade Nibha Diye Haiñ,
Deen-e-Mohammadi (ﷺ) Ke Gulshan Khila Diye Haiñ.

Bole Hussain Maula Teri Raza Ki Khaatir,
Ek Aek Kar Ke Maine Hire Luta Diye Haiñ.

Deen-e-Nabi (ﷺ) Pe Waari Akbar Ne Bhi Jawaani,
Abbas Ne Bhi Apne Baazu Kata Diye Haiñ.

Zainab Ke Baag Me Bhi Do Phool The Mahakte,
Zainab Ne Bhi Wo Dono Raah-e-Khuda Diye Haiñ.

Zahra Ke Naaz Paale Jhooloñ Pe Sone Waale,
Karbal Ki Khaak Me Wo Heere Kuta Diye Haiñ.

Bakhshish Hai Unki Laazim Sayyad Ke Gham Me Haafiz,
Do-Chaar Aañsoo Ro Kar Jisne Baha Diye Haiñ.

Naat Lyrics in Hindi

सय्यद ने करबला में वादे निभा दिए हैं,
दीन ए मोहम्मदी (ﷺ) के गुलशन खिला दिए हैं।

बोले हुसैन मौला तेरी रज़ा की ख़ातिर,
एक एक कर के मैंने हीरे लुटा दिए हैं।

दीन ए नबी (ﷺ) पे वारी अकबर ने भी जवानी,
अब्बास ने भी अपने बाज़ू कटा दिए हैं।

ज़ैनब के बाग़ में भी दो फूल थे महकते,
ज़ैनब ने भी वो दोनो राहे खुदा दिए हैं।

ज़हरा के नाज़ पाले झूलों पे सोने वाले,
करबल की खाक में वो हीरे लुटा दिए हैं।

बख़्शीश है उनकी लाज़िम सय्यद के ग़म में हाफ़िज़,
दो चार आंसू रो कर जिसने गिरा दिए हैं।

Naat Lyrics in Urdu

سید نے کربلا میں وعدے نبھا دیے ہیں،
دینِ محمدیؐ کے گلشن کھلا دیے ہیں۔

بولے حسینؑ مولا تیری رضا کی خاطر،
ایک ایک کر کے میں نے ہیرے لٹا دیے ہیں۔

دینِ نبیؐ پہ واری اکبرؑ نے بھی جوانی،
عباسؑ نے بھی اپنے بازو کٹا دیے ہیں۔

زینبؑ کے باغ میں بھی دو پھول تھے مہکتے،
زینبؑ نے بھی وہ دونوں راہِ خدا دیے ہیں۔

زہراؑ کے ناز پالے جھولوں پہ سونے والے،
کربل کی خاک میں وہ ہیرے لٹا دیے ہیں۔

بخشش ہے ان کی لازم سید کے غم میں حافظ،
دو چار آنسو رو کر جس نے بہا دیے ہیں۔

 

 

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,574 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,555 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,280 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,188 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,076 views

Leave a Comment