Sare Arsh Qurbe Dna Jaane Wale Naat Lyrics

सरे-अर्श कु़र्बे-दना जाने वाले | तज़मीम – चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले / Sare-Arsh Qurbe-Dana Jaane Waale | tazmeem – Chamak Tujh Se Paate Hain Sab Paane Waale
सरे-अर्श कु़र्बे-दना जाने वाले,
गुनहगार उम्मत के काम आने वाले
मदीने में आराम फरमाने वाले
चमक तुझ से पाते हैं सब पाने वाले
मेरा दिल भी चमका दे चमकाने वाले

मुनाफिक़ की आंखों में पर्दा है वल्लाह
हमेशा से दिल जिसका मुर्दा है वल्लाह
मगर सुन्नियों का अकी़दा है वल्लाह
तु ज़िंदा है वल्लाह तु ज़िंदा है वल्लाह
मेरी चश्मे-आ़लम से छुप जाने वाले

पड़ी है गुनाहों की कुछ ऐसी आदत
हमें हाल पर अपने आती है गै़रत
कहाॅं जाएं किस से करें हम शिकायत
बरसता नहीं देख कर अब्रे-रह़मत
बदों पर भी बरसा दे बरसाने वाले

सदा उनकी यादों की मह़फ़िल सजाना
मुह़ब्बत के अनमोल गौहर लूटाना
रजा़ का ये मक़ता भी पढ़ कर सुनाना
रज़ा नफ़्से-दुश्मन है दम में न आना
कहाँ तुम ने देखे हैं चंदराने वाले

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत नूर अली नूर

reed more. है ज़िक्र बड़ा ऊंचा तेरा तुझे हमने खु़दा की अ़ता जाना | tazmeem – Lam Yati Naziruk Fi …

Sare-Arsh Qurbe-Dana Jaane Waale,
Gunahgaar Ummat Ke Kaam Aane Waale
Madine Mein Aaraam Farmaane Waale
Chamak Tujh Se Paate Hain Sab Paane Waale
Mera Dil Bhi Chamka De Chamakaane Waale

Munafiq Ki Aankhon Mein Parda Hai Wallah
Hamesha Se Dil Jiska Murda Hai Wallah
Magar Sunniyon Ka Aqeedah Hai Wallah
Tu Zinda Hai Wallah Tu Zinda Hai Wallah
Meri Chashme-Aalam Se Chhup Jaane Waale

Padi Hai Gunahon Ki Kuch Aisi A’adat
Hamein Haal Par Apne Aati Hai Ghairat
Kahan Jaayein Kis Se Karein Ham Shikayat
Barasta Nahin Dekh Kar Abre-Rahmat
Badon Par Bhi Barsa De Barsane Waale

Sada Unki Yaadon Ki Mehfil Sajaana
Muhabbat Ke Anmol Gauhar Lutaana
Raza Ka Ye Maqta Bhi Padh Kar Sunaana
Raza Nafse-Dushman Hai Dam Mein Na Aana
Kahan Tum Ne Dekhe Hain Chandraane Waale

Na’at-Khwan:
Hazrat Noor Ali Noor

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...232 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...121 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...101 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...98 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...98 views

Leave a Comment