Sar Pe Nalain Aapke Hote Naat Lyrics

Sar Pe Nalain Aapke Hote Naat Lyrics

 

सर पे नालैन आपके होते
और तैबा में हम खड़े होते।

 

जिनमें खुशबू बसी है आक़ा की
वो दर-ओ-बाम चूमते होते।

 

करते ख़िदमत सगान-ए-तैबा की
हम भी तक़दीर के बड़े होते।

 

मौत आ जाती उनकी चौखट पर
मुझ पे जन्नत में तब्सिरे होते।

 

दफ़न होता मैं उनके रस्ते में
काश वो पाओं रख दिये होते।

 

प्यास से मैं तड़प रहा होता
आप कौसर पिला रहे होते।

 

सख़्ती-ए-हश्र का करूं शिकवा
वो भी सरकार आपके होते!

 

आप तशरीफ़ रखते मीज़ां पर
फ़िर ग़ुलामों के फ़ैसले होते।

 

काश दौर-ए-हुसैन मिल जाता
साथ में कर्बला गये होते।

 

Naat Khwan: Shaif Raza Kanpuri

Sar Pe Nalain Aapke Hote
Aur Taiba Me Ham Khade Hote

 

Jinme Khushboo Basi Hai Aaqa Ki
Wo Dar-o-baam Choomte Hote

 

Karte Khidmat Sagaan-e-Taiba Ki
Ham Bhi Taqdeer Ke Bade Hote

 

Maut Aa Jaati Unki Chokhat Par
Mujh Pe Jannat Me Tabsire Hote

 

Dafan Hota Main Unke Raste Me
Kaash Wo Paaon Rakh Diye Hote

 

Pyaas Se Main Tadap Raha Hota
Aap Kausar Pila Rahe Hote

 

Sakhti-e-hashr Ka Karun Shikwa
Wo Bhi Sarkar Aapke Hote

 

Aap Tashreef Rakhte Meeza.n Par
Phir Ghulamon Ke Faisle Hote

 

Kash Daur-e-hussain Mil Jata
Saath Me Karbala Gaye Hote

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,150 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,587 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,037 views

Leave a Comment