SAHAR KA WAQT HAI MASUM KALIYA MUSKURATI HAIN NAAT LYRICS
Sahar ka waqt hai masum kaliya muskurati hain
Hawae kher makdam ke tarane gungunati hain
Abhi jibril utare bhi na the kabe ke mimbar se
Ke itne me sada aai ye abdullah ke dhar se
Jashn manao aae hain sab nabiyo ke sultaan
Huro malaik jinno basar sab karte hain ailan
Pukaro marhaba ya mustafa (saw) marhaba ya mustafa (saw)
Pukaro marhaba ya mustafa (saw) marhaba ya mustafa (saw)
Gulsan mai phool mahke dali dali bhi lahake
Unki aamad ka sunkar bulbul bhi chaman mai chahke
Unka jasn mana kar karlo bakhshish ka saman
Jasn manao aae hai sab……………………………………………….
He noor paikar aae rahmat ke badal chhae
Dukhiya ke liye wo sayae rahmat bankar aae
Unke aane se aai har chahre par muskan
Jasn manao aae hai sab………………………………………………….
Nara amad ka lagao zando se dharko sajao
Imaan ka hai ye takaza sab geet nabi ke gao
Ye wo geet hai jisase khud khush hota hai rahmaan
Jasn manao aae hai sab………………………………………………….
Hai bara rabiul awwal dareasl mai id hamari
Jasne milad ki dhoome ta-hasr rahegi jari
aisa jasn taybah mai ye dil mai hai armaan
Jasn manao aae hai sab………………………………………………….
Kherat rukhe roshan ki sab chand sitaro mai hai
Aaka ka jasn manana kurban ke paro me hai
Parhkar dekhlo aala hazarat ka kanzul imaan
Jasn manao aae hai sab………………………………………………….
Hai hamape ‘muin’ musalasal aaka ki karam nawazi
Nato ke phool bikhero rab ho haega razi
Unki sanakhwani karna to hak ki hai pehachan
Jasn manao aae hai sab………………………………………………….