SAHAB E REHMAT E BAARI HAI BARAHVI TAREEKH NAAT LYRICS

SAHAB E REHMAT E BAARI HAI BARAHVI TAREEKH NAAT LYRICS

 

Sahab E Rehmat E Baari Hai Barahvi Tareekh
Karam Ka Chashma E Jaari Hai Barahvi Tareekh

Hame To Jaan Se Pyari Hai Barahvi Tareekh
Aduu Ke Dil Ko Katari Hai Barahvi Tareekh

Isi Ne Mousame Gil Ko Kiya Hai Mousame Ghul
Bahar E Fazl E Bahari Hai Barahvi Tareekh

Falak Pe Arshe Baree Ka Ghuman Hota Hai
Zameen E Khuld Ki Kyari Hai Barahvi Tareekh

Tamaam Ho Gayi Meelad E Ambiya Ki Khushi
Hamesha Ab Teri Baari Hai Barahvi Tareekh

Khuda Ke Fazl Se Imaan Me Hai Hum Poore
Ke Apni Rooh Me Saari Hai Barahvi Tareekh

Wiladat E Shahedee Har Khushi Ki Ba-is Hai
Hazaar Eid Se Bhaari Hai Barahvi Tareekh

Hamesha Tune Ghulamo Ke Dil Kiye Thande
Jale Jo Tujhse Wo Naari Hai Barahvi Tareekh

Aduu Wiladat E Shaita(n) Ke Din Manaye Khushi
Ke Eid Eid Hamari Hai Barahvi Tareekh

Hasan Wiladat E Sarkaar Se Huva Roushan
Mere Khuda Ko Bhi Pyari Hai Barahvi Tareekh

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,514 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,531 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,269 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,179 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,072 views

Leave a Comment