Saara jag Aaj phir jagmagaya Mere Aaqa ka milaad aaya Naat Lyrics

Saara jag Aaj phir jagmagaya Mere Aaqa ka milaad aaya Naat Lyrics

 

Saara jag Aaj phir jagmagaya Mere Aaqa ka milaad aaya Naat Lyrics

Saara jag Aaj phir jagmagaya Mere Aaqa ka milaad aaya
Abr rehmat ka har simt chaaya Mere Aaqa ka milaad aaya

Rabbe sallim ala padhrahi thi, ye zameen arsh se kehrahi thi
Aaj mehboob e rab Maine paaya Mere Aaqa ka milaad aaya

Kasr kisra ki aatish bujha kar shamiyo ke mahel ko hila kar
Noore haq jism me dhal ke aaya Mere aaqa ka milaad aaya

Momino Aaj khushiya manao unke milaad ke geet gaao
Arshe haq Noor me hai nahaya Mere aaqa ka milaad aaya

Wo shafi ho khalilo najih ho ya sabi ho kaleemo masih ho
Har Nabi ne yahi gungunaya Mere aaqa ka milaad aaya

Aamena Teri qismat qurbaan tere Ghar se mila hamko quraan
Noor ne bhi ye nagma sunaya Mere aaqa ka milaad aaya

Writer – Sayyed noorani Miya Ashraf Ashrafiul jilani

Popular Posts

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...781 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...706 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...437 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...387 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...342 views

Leave a Comment