Rukhe Mustafa Ko Dekha Naat Lyrics

Rukhe Mustafa Ko Dekha Naat Lyrics

 

रूखे मुस्तफा को देखा तो दियो ने जलना सीखा
यह है करम मुस्तफा का,शबे-ए-ग़म ने ढलना सीखा

येह ज़मीन रुकी हुई थी यह फलक थमा हुआ था
चले जब मेरे मुहह्म्मद तो जहाँ ने चलना सीखा

रूखे मुस्तफा को देखा तो दियो ने जलना सीखा
यह है करम मुस्तफा का,शबे-ए-ग़म ने ढलना सीखा

मेरा गिरा नहीं हु अब तक येह कमाल-ए-मुस्तफा है
मेरी जात ने नबी से है सदा संभलना सीखा

रूखे मुस्तफा को देखा तो दियो ने जलना सीखा
यह है करम मुस्तफा का,शबे-ए-ग़म ने ढलना सीखा

बड़ा खुश नसीब हूँ मैं, मेरी खुश नसीबी देखो
बड़ी कमसिनी से मैंने है यह नात पढ़ना सीखा

रूखे मुस्तफा को देखा तो दियो ने जलना सीखा
यह है करम मुस्तफा का,शबे-ए-ग़म ने ढलना सीखा

यह ज़मीन रुकी हुई थी, यह फ़लक थमा हुआ था।
चले जब मेरे मुहह्म्मद तो जहान ने चलना सीखा।

रूखे मुस्तफा को देखा तो दियो ने जलना सीखा
यह है करम मुस्तफा का,शबे-ए-ग़म ने ढलना सीखा

मैं रहा ख़लिश मुज़फ़्फर दर-ए-पाक-ए-मुस्तफा पर,
मेरे जज़्ब-ए-आशिकी ने कहाँ घर बदलना सीखा।

मेरा दिल बड़ा ही बेहिस था कभी नहीं यह तड़पा
सुनी नात जब नबी की तो येह दिल मचलना सीखा

रूखे मुस्तफा को देखा तो दियो ने जलना सीखा
यह है करम मुस्तफा का,शबे-ए-ग़म ने ढलना सीखा

नात ख़्वाँ:-
ज़ोहेब अशरफी

Roman (Eng) :

Rookhe Mustafa ko dekha to diyoon ne jalna seekha
Yeh hai karam Mustafa ka, shabe-e-gham ne dhalna seekha

Yeh zameen ruki hui thi yeh falak thama hua tha
Chale jab mere Muhammad to jahan ne chalna seekha

Rookhe Mustafa ko dekha to diyoon ne jalna seekha
Yeh hai karam Mustafa ka, shabe-e-gham ne dhalna seekha

Mera gira nahi hoon ab tak yeh kamaal-e-Mustafa hai
Meri zaat ne Nabi se hai sada sambhalna seekha

Rookhe Mustafa ko dekha to diyoon ne jalna seekha
Yeh hai karam Mustafa ka, shabe-e-gham ne dhalna seekha

Bada khush naseeb hoon main, meri khush naseebi dekho
Badi kamasini se maine hai yeh naat padhna seekha

Rookhe Mustafa ko dekha to diyoon ne jalna seekha
Yeh hai karam Mustafa ka, shabe-e-gham ne dhalna seekha

Yeh zameen ruki hui thi, yeh falak thama hua tha
Chale jab mere Muhammad to jahan ne chalna seekha

Rookhe Mustafa ko dekha to diyoon ne jalna seekha
Yeh hai karam Mustafa ka, shabe-e-gham ne dhalna seekha

Main raha Khalish Muzaffar dar-e-pak-e-Mustafa par
Mere jazb-e-aashiqui ne kahan ghar badalna seekha

Mera dil bada hi behis tha kabhi nahi yeh tadpa
Suni naat jab Nabi ki to yeh dil machalna seekha

Rookhe Mustafa ko dekha to diyoon ne jalna seekha
Yeh hai karam Mustafa ka, shabe-e-gham ne dhalna seekha

Naat Khwan:
Zohaib Ashrafi

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...71 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...60 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...56 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...40 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...32 views

Leave a Comment