rasoole khuda ka ye farman hai lyrics

है क़ौल-ए-मुहम्मद क़ौल-ए-ख़ुदा फ़रमान न बदला जाएगा / Hai Qaul-e-Muhammad Qaul-e-Khuda Farman Na Badla Jayega
है क़ौल-ए-मुहम्मद क़ौल-ए-ख़ुदा, फ़रमान न बदला जाएगा
बदलेगा ज़माना लाख मगर क़ुरआन न बदला जाएगा

शाहों को बदलते देखा है, शाहीं को बदलते देख लिया
इस्लाम की कश्ती का लेकिन सुल्तान न बदला जाएगा

सर लाख उठाएगा ज़ालिम, होगी न फ़तह हरगिज़ हासिल
हक़ वाले रहेंगे हक़ पे सदा, ईमान न बदला जाएगा

सब दुनिया होगी फ़ौत इक दिन, आएगी मौत को मौत इक दिन
क़ानून अटल है क़ुदरत का, इक आन न बदला जाएगा

आज़ाद ! ये कह दो दुनिया से, जब तक ये मुसलमाँ ज़िंदा हैं
इस्लाम की ज़ेब-ओ-ज़ीनत का सामान न बदला जाएगा

नशीद-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ मुनीर अहमद

 

hai qaul-e-muhammad qaul-e-KHuda
farmaan na badla jaayega
badlega zamaana laakh magar
qur.aan na badla jaayega

shaaho.n ko badalte dekha hai
shaahee.n ko badalte dekh liya
islam ki kashti ka lekin
sultaan na badla jaayega

sar laakh uThaaega zaalim
hogi na fatah hargiz haasil
haq waale rahenge haq pe sada
imaan na badla jaayega

sab duniya hogi faut ik din
aayegi maut ko maut ik din
qaanoon aTal hai qudrat ka
ik aan na badla jaayega

Aazad ! ye keh do duniya se
jab tak ye musalmaa.n zinda hai.n
islam ki zeb-o-zeenat ka
saamaan na badla jaayega

Nasheed-Khwaan:
Hafiz Munir Ahmed

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...193 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...101 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...86 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...79 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...74 views

Leave a Comment