Rasool E Anwar Salaam Lelo Khuda Ke Dilbar Salaam Lelo
Tumhare Dar Ke Ghulaam Aaqa Khade Hai Dar Par Salaam Lelo
Tumhari Azmat Bayan Ho Kisse Tumhari Mudhat Bayan Ho Kisse
Khuda Hi Jaane Tumhari Shaukat Do Jag Ke Sawar Salaam Lelo
Ye Sabz Gumbad Sunehri Jaali Yaha Ke Dono Jahaan Sawaali
Jhukaye Rakhte Hai Sar Ko Apne Sabi Payambar Salaam Lelo
Bichaye Ankhon Ko Ham Khade Hai Tumhare Tukro Pe Jo Pale Hai
Bas Ek Nigaahe Karam Ho Aaqa Shafiye Mehshar Salaam Lelo
Tumhari Ulfat Hai A’in E Iman Tumhi Pe Naazil Hua Hai Quran
Khuda Ki Qudrat Ka Mere Aaqa Tumhi Ho Mazhar Salaam Lelo
Tumhari Marzi Tumhara Mansha Yahi To Imaan Hai Muttaqui Ka
Ye Dil Fida Hai Ye Jaan Sadqe Tumhare Upar Salaam Lelo
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,353 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...528 views