RAAH-E-IRFAN SEY JO HUM NAA DEEDAH RU MAHRAM NAHIN NAAT LYRICS

RAAH-E-IRFAN SEY JO HUM NAA DEEDAH RU MAHRAM NAHIN NAAT LYRICS

 

Raah-e-irfan sey jo hum naa deedah ru mahram nahin,
Mustafa hay masnad-e-irshad par kuch gham nahin.

Hoon musalman garchey naqis hi sahi aay kamilo,
Mahiyat pani ki akhir yam sey nam mein kam nahin.

Ghunchey maa awha key jo chatkey dana key bagh mein,
Bulbul-e-sidrah tak un ki bu sey bhi mahram nahin.

Us mein zam-zam hay key tham-tham is mein jam-jam hay key beesh,
Kasrat-e-kawsar mein zam-zam kee tarah kam-kam nahin.

Panjah-e-mihr-e-arab hay jis sey darya bah gaye,
Chashmah-e-khurshid mein to naam ko bhi nam nahin.

Aysa ummi kis liye minnat kash-e-ustaad ho,
Kya kifaayat is ko iqra’a rabbuka’l akram nahin.

Aws mihr-e-hashr par par jaye pyaso to sahee,
Us gul-e-khandan ka rona giryah-e-shabnam nahin.

Hay unhin key dam qadam ki bagh-e-aalam mein bahar,
Woh na thay aalam na tha gar woh na hon aalam nahin.

Saayah-e-diwar-o-khaak-e-dar ho Yaa Rab aur RAZA,
Khwahish-e-dayhim-e-qaysar shawq-e-takht-e-jam nahin.

Leave a Comment