Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke Naat Lyrics

Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke Naat Lyrics
Qurbaan Mein Unki Bakhshish Ke, Maqsad Bhi Zubaa Par Aaya Nahi
Bin Maange Diya Aur Itna Diya, Daaman Mei Hamaare Samaaya Nahi

Imaan Mila Un Ke Sadqe, Quran Mila Un Ke Sadqe
Rehmaan Mila Un Ke Sadqe, Woh Kya Hai Jo Ham Ne Paaya Nahi(N)

Aawaaz Karam Deta Hi Raha, Thak Haar Gaye Lene Waale
Mangto Ki Hameshaah Laaj Rakhi, Mehroom Kabhi Lautaaya Nahi

Un Ka To Shiyaar Karimi Hai, Maa-Il Ba Karam Hi Rehte Hai
Jab Yaad Kiya Aey Salle Ala, Woh Aahi Gaye Tadpaaya Nahi

Khurshid Qiyaamat Ki Tapish, Maana Ke Qiyaamat Hi Hogi
Ham Un Ke Hai Ghabraaei Kyo, Kya Ham Pe Nabi Ka Saayaah Nahi

Us Mohsane Azam Ke Yu To, Khalid Pe Hazaro Ehsaan Hai
Qurbaan Magar Is Ehsaan Ke, Ehsaan Bhi Kiya To Jataaya Nahi

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,933 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,099 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...966 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...753 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...737 views

Leave a Comment