Peero Ke Aap Peer Hai, Ya Ghous Al-Madad Naat Lyrics

Peero Ke Aap Peer Hai, Ya Ghous Al-Madad Naat Lyrics
Peero Ke Aap Peer Hai, Ya Ghous Al-Madad
Ahle Safa Ke Meer Hai, Ya Ghous Al-Madad

Ranjo Alam Kaseer Hai, Ya Ghous Al-Madad
Hum Aajizo Aseer Hai, Ya Ghous Al-Madad

Hum Kaise Jee Rahe Hai, Ye Tum Se Kya Kahe
Hum Hai Alam Ke Teer Hai, Ya Ghous Al-Madad

Teere Nazar Se Pherdo Saare Alam Ke Teer
Kya Ye Alam Ke Teer Hai, Ya Ghous Al-Madad

Tere Hi Hath Laaj Hai Ya Peer-E Dastageer
Hum Tere Dastageer Hai, Ya Ghous Al-Madad

Kis Dil Se Ho Bayaane Bedade Zaalima
Zaalim Bade Shareer Hai, Ya Ghous Al-Madad

Ahle Safa Ne Paayi Tumse Rahe Safa
Sab Tumse Mustaneer Hai, Ya Ghous Al-Madad

Sadqa Rasool-E Paak Ka Jholi Mein Daaldo
Hum Qadri Fakeer Hai, Ya Ghous Al-Madad

Dil Ki Sunaa-E ‘Akhtar’ Dil Ki Zubaan Mein
Kehte Yeh Behte Neer Hai, Ya Ghous Al-Madad

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,593 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment