patthar mujhe sharminda-e-guftār na kar de
ūñchā mirī āvāz ko dīvār na kar de
majbūr-e-suḳhan kartā hai kyuuñ mujh ko zamāna
lahja mire jazbāt kā iz.hār na kar de
zanjīr samajh kar mujhe toḌā to hai tū ne
ab tujh ko pareshāñ mirī jhankār na kar de
chaltā huuñ to paḌte haiñ qadam mere havā par
Dartā huuñ havā chalne se inkār na kar de
rah jā.ūñ na maiñ apne hī qadmoñ se kuchal kar
pāmāl mujhe ḳhud mirī raftār na kar de
maiñ ḳhud ko miTā kar tirā shahkār banā huuñ
nīlām mujhe tū sar-e-bāzār na kar de
har saañs na.e zaḳhm lagātī hai ‘muzaffar’
TukḌe mire ik roz ye talvār na kar de
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,634 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,568 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,289 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,195 views