Panjtan Ki Zara Chhediye Guftugu

पंजतन की ज़रा छेड़िए गुफ़्तुगू / Panjtan Ki Zara Chhediye Guftugu
पंजतन की ज़रा छेड़िए गुफ़्तुगू
नूरी चादर का क़िस्सा सुना दीजिए
सर से पा तक जो सब नूर ही नूर हैं
उन के पैकर का क़िस्सा सुना दीजिए

जिस में महव-ए-‘इबादत रहीं फ़ातिमा
बे-इजाज़त न जिब्रील आए जहाँ
जिस में पैदा हुए हैं हुसैन-ओ-हसन
हम को उस घर का क़िस्सा सुना दीजिए

जिन की हिम्मत पे दुनिया भी हैरान है
जिन का शाहिद वो कर्बल का मैदान है
दे गए हैं जो इस्लाम को ज़िंदगी
उन बहत्तर का क़िस्सा सुना दीजिए

अल्लाह अल्लाह ! बच्चा वो छे माह का
क्या सितम है, न उस को भी बख़्शा गया
जिस की आँखों में आँसू न आए कभी
उस को असग़र का क़िस्सा सुना दीजिए

कैसी बिजली निकलती थी तलवार से
कैसे उड़ते थे सर उन के इक वार से
कैसे थर्रा रहा था वो कर्ब-ओ-बला
ज़र्ब-ए-अकबर का क़िस्सा सुना दीजिए

ख़ून ‘औन-ओ-मुहम्मद का कैसे बहा
कैसे क़ासिम को मक़्तल से लाया गया
कैसे बेटों की लाशें उठाते रहे
इब्न-ए-हैदर का क़िस्सा सुना दीजिए

सारी दुनिया में जिन का बड़ा शोर है
जिन को ताक़त का, अज़हर ! बड़ा ज़ोर है
बद्र का उन को नक़्शा दिखा दीजिए
जंग-ए-ख़ैबर का क़िस्सा सुना दीजिए

शायर:
मौलाना अज़हर फ़ारूक़ी बरेलवी

ना’त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी

 

panjtan ki zara chhe.Diye guftugu
noori chaadar ka qissa suna dijiye
sar se paa tak jo sab noor hi noor hai.n
un ke paikar ka qissa suna dijiye

jis me.n mahw-e-‘ibaadat rahi.n faatima
be-ijaazat na jibreel aae jahaa.n
jis me.n paida hue hai.n husain-o-hasan
ham ko us ghar ka qissa suna dijiye

jin ki himmat pe duniya bhi hairaan hai
jin ka shaahid wo karbal ka maidaan hai
de gae hai.n jo islaam ko zindagi
un bahattar ka qissa suna dijiye

allah allah ! bachcha wo chhe maah ka
kya sitam hai, na us ko bhi baKHsha gaya
jis ki aankho.n me.n aansu na aae kabhi
us ko asGar ka qissa suna dijiye

kaisi bijli nikalti thi talwaar se
kaise u.Dte the sar un ke ik waar se
kaise tharra raha tha wo karb-o-bala
zarb-e-akbar ka qissa suna dijiye

KHoon ‘aun-o-muhammad ka kaise baha
kaise qaasim ko maqtal se laaya gaya
kaise beTo.n ki laashe.n uThaate rahe
ibn-e-haidar ka qissa suna dijiye

saari duniya me.n jin ka ba.Da shor hai
jin ko taaqat ka, Az.har ! ba.Da zor hai
badr ka un ko naqsha dikha dijiye
jang-e-KHaibar ka qissa suna dijiye

Poet:
Maulana Azhar Farooqi Barelvi

Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,639 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,570 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,291 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,195 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,080 views

Leave a Comment