Noor Se Apne Sarwar E Aalam Naat Lyrics
Noor Se Apne Sarwar E Aalam Duniya Jagmagane Aaye
Ghum Ke Maaro Dukhyaro Ko Seene Se Lagane Aaye
Noore Nigare Ambiya, Mere Huzoor Aa Gaye
Shano Nishaan E Kibriya Mere Huzoor Aa Gaye
Nikhra Hua Hai Rue Gul Faili Hui Hai Bue Gul
Banke Bahaar E Jaa(n) Fiza Mere Huzoor Aa Gaye
Arsh E Baree Ki Rounake Farsh E Zamee Par Aa Gayi
Sajde Ko Jhuk Gaya Aasmaa(n) Mere Huzoor Aa Gaye
Ashqo Se Bhar Ke Jholiya Aankhe Bicha Do Raah Me
Salle Alaa Ki Do Sadaa Mere Huzoor Aa Gaye
Chatki Hui Hai Chaandni Faili Hui Hai Roshni
Dariya Rawa(n) Hai Noor Ka Mere Huzoor Aa Gaye
Mehfil Ko Ab Sawaar Lo Dil Ka Chaman Nikhar Lo
Kardo Charaga Jaa-Baja Mere Huzoor Aa Gaye
Sayim Kalaam E Zouk Se Kalbo Nazar Ko Shauk Se
Raho(n) Me Aaj Do Bicha Mere Huzoor Aa Gaye
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,507 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,634 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,604 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,567 views