nisaar baba fareed tujh par ajeeb tera makaam hai lyrics

dilbare khwaja qutab faiz lutaane waale
mere baba hain gharibon ko nibhaane waale

mere masood piya main teri azmat ke nisar
sar jhukaate hain tere dar pe zamaane waale

meri jholi mein bhi kuchh daal de khairat e karam
chistiya faiz zamaane mein lutaane waale

marhaba teri sakhaawat hai badi ganj e shakar
maangne waalon ko sultan banaane waale

koi mehboob bana aur koi saabir baba
kya se kya bann gaye nisbat teri paane waale

nisaar baba fareed tujh par ajeeb tera makaam hai
zamaana uske kadam ko choome jo tere dar ka ghulam hai

banaye takdeer bekason ki teri nazar ka yeh kaam hai
hamein bhi khairat de karam ki karam tera sab pe aam hai

jo bhi dar pe saayil aata mann ki muraadein sab hai paata
main bhi aapka hoon kehlaata bheekh mujhe de de baba

tumhari nisbat se bekason ko mili hai khwaja ki roshni
tumhare sadke se mere baba kamaal e saabir nizam hai

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,658 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,576 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,292 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,195 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,092 views

Leave a Comment