Nazr-e-Bad Se Bachne Ki Dua

Nazr-e-Bad Se Bachne Ki Dua | बीमारियों और बुरी नज़र से बचने की दुआ

📌 Buri nazar aur bimariyon se hifazat ke liye Quran aur Hadees me kai duaein batai gayi hain. Yeh duaein parhne se InshaAllah Allah Ta’ala hifazat farmayega.


📖 Beemariyon Aur Buri Nazar Se Bachne Ki Dua

1️⃣ Surah Al-Anbiya (21:83-84)

Arabic:
أَنِّي مَسَّنِيَ الضُّرُّ وَأَنتَ أَرْحَمُ الرَّاحِمِينَ

Hindi Tarjuma:
“Mujhe takleef ho rahi hai aur Tu sabse badh kar Reham karne wala hai.”

📖 (Surah Al-Anbiya 21:83-84)


2️⃣ Takleef Aur Beemari Ko Door Karne Ki Dua

Arabic:
أَذْهِبِ الْبَاسَ رَبَّ النَّاسِ ‏وَاشْفِ أَنْتَ الشَّافِي لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا

Hindi Tarjuma:
“Takleef ko door farma, aye logon ke Rabb, aur shifa ata farma, Tu hi shifa dene wala hai, Tere siwa koi shifa dene wala nahi hai, aisi shifa de ki bimari bilkul baqi na rahe.”

📖 (Sunan Ibn Majah, Jild 1, 1619 – Sahih)


3️⃣ Har Qisam Ki Beemari Se Bachne Ki Dua

Arabic:
اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبَرَصِ وَالْجُنُونِ وَالْجُذَامِ وَمِنْ سَيِّئِ الأَسْقَامِ

Hindi Tarjuma:
“Ya Allah! Main tujhse panah mangta hoon kodh ki beemari se, pagalpan se, juzam ki beemari (infection) se aur tamam buri beemariyon se.”

📖 (Sunan Abu Dawood, Jild 1, 1541 – Sahih)


4️⃣ Buri Nazar Se Bachne Ki Dua

Arabic:
أَعُوذُ بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لامَّةٍ

Hindi Tarjuma:
“Main panah maangta hoon Allah ke pure-pure kalimat ke zariye, har shaitaan se aur har zehreela jaanwar se aur har nuksaan pahunchaane wali buri nazar se.”

📖 (Sahih Bukhari, Jild 4, 3371)


📌 Aakhri Baat

Agar aap beemariyon aur buri nazar se bachne ke liye ye duaein rozana parhein, to InshaAllah Allah Ta’ala hifazat farmayega.

🕌 Is dua ko zyada se zyada share karein, kyunki deen ki baatein batana Sadaqah-e-Jariya hai! 🤲

popular posts

Leave a Comment