Nazar Ko Baksh Do Aisa Asar Garib Nawaz Naat Lyrics

Nazar ko bax do aisa asar GARIB NAWAZ Naat Lyrics
Nazar ko bax do aisa asar GARIB NAWAZ
Nazar utha u to avo nazar GARIB NAWAZ

Garib jaye to jaye kidhar GARIB NAWAZ
Tumhara dar hai MOHAMMAD ka dar GARIB NAWAZ

Wahi madad ke liye ayege MOINUDDIN
Labo pe aagaya tere agar GARIB NAWAZ

Nazar ho jis pe teri uska puch na hi kya
Teri nazar hai NABI ki nazar GARIB NAWAZ

Me pul sirat se guzaru to is tarha guzru
Idhar ho GHAUS PIYA aur idhar GARIB NAWAZ

RASOOL-E-PAK ne is hind ko dua di hai
Basa hai jab se tumhara nagar GARIB NAWAZ

Padhaya apne lakho ko rah main kalma
Kiya madine se aisa safar GARIB NAWAZ

 

 

*_📄PART=0⃣4⃣_*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*_🌷JASHN-E-KHWAJA SULTAN UL HIND🌷_*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*_🌹SEERAT -E- HAZRAT KHAWAJA MOINUDDIN HASAN CHISTI رحمةاللّٰه عليه…🌹_*

*🌿Nasab Naama Pedari🌿*

〰〰〰〰〰〰〰

*Aap Ka Nasab Naama Pedari Hasb Zeel Hai*

*1 :- Hazrat Khwaja Moinuddin Hasan.*

2 :-Bin Hazrat Khwaja Ghayasuddin

3 :- Bin Hazrat Khwaja Najmuddin Tahir

4 :- Bin Hazrat Khwaja Sayyed Ibrahim

5 :- Bin Hazrat Khwaja Sayyed Idrees

6 :- Bin Hazrat Imam Moosa Kazim

7 :- Bin Hazrat Imam Jaafar Sadiq

8 :- Bin Hazrat Imam Muhammad Baqar

9 :- Bin Hazrat Imam Zainul Aabedin

10 :- Bin Sayyedna Imam Husain

*11 :-Bin Ameerul Momineen Hazrat Ali Karamullah wajha*

*Khawaja Sahab رحمته الله عليهki Walidah Majidah Ka Nasab Naama Hasb Zeel Hai..*

1 :- Bibi Ummul Wara

2 :- Binte Hazrat Sayyed Dawood

3 :- Bin Hazrat Abdullah Hambali

4 :- Bin Hazrat Zahid

5 :- Bin Hazrat Muhammad Moris

6 :- Bin Hazrat Dawood

7 :- Bin Hazrat Moosa

8 :- Bin Hazrat Sayyed Abdullah Makhfi

9 :- Bin Hazrat Hasan Masna

10 :- Bin Sayyedna Imam Hasan

*11 :- Ameerul Momineen Sayyedna Hazrat Ali Karamullah Wajha*

رحمته الله عليه

رضى الله عنه

*Taaleem Wa Tarbiyat*

Ibtidai Taaleem Ghar Par Hui Aap Ke Walid Buzurgwar Ek Bade Aalim The *Khwaja Sahabرحمته الله عليه* Ne 9 Sal Ki Hi Umar Me Quran Majeed Hifz Kar Liya Aur Us Ke Bad Sanjar Ke Ek Maktab Me Dakhila Hua Aap Ne Yha Ibtidai Taur sebTafseer fiqa Aur Hadees Ki Taaleem Paayi Aur Thode Hi Arse me Aap Ne kafi Ilm hasil kar liya

*_{ 📚BOOK NAME:-HIND UL WALI GHARIB NAWAZ , Page No : 08/09}_*

*_{ 🖌Writer Name :- MUNSHI ABDUL HAMEED BIHARI }_*

*_📄PART=0⃣5⃣_*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*_🌷JASHN-E-KHWAJA SULTAN UL HIND🌷_*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*_🌹SEERAT -E- HAZRAT KHAWAJA MOINUDDIN HASAN CHISTI رحمةاللّٰه عليه…🌹_*

*🌿Kharasan Ki Mukhtasar Taarikh🌿*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*🌺Hazrat Khwaja Gharib Nawaz رحمته الله عليه* jis Zamane me Paida hue woh Bada hi PurAashoob Zamana tha beraham tatariyo ne har taraf Qatl wa Gharatgiri Aur Loot Ka Baazar Garam Kr rakha tha Aman wa Chain Kisi ko bhi Nahi tha Un Darindo ne Kharasan par Hamla kar diya aur Sultan-e-Sanjar ko Un se shikast ho gai Har Taraf Lasho Ke Ambar lag gae yahi Woh Ilaqa tha Jis Me Ek Taraf Tatariyo Ne Zulm barpa kar rakha tha Aur Dusri Taraf Aqaed Islam Ke Khilaf Sakht Karguzari Kar rhe the

Chunke Sultane Kharasan Ko Shikast Ho chuki thi Is Lie tatari Ilaqe ke log begair kisi rok tok ke Kharasn me Dakhil Ho gae Aur Mukhtaif Shahro Jaise Awash (Mashhad) Maqdam Aur Nishapur Ko Barbad Kar k dal diya Ladko Aur ladkiyo ko Ghulam Aur Laundi Banaya Aur Tamam Masjido ko tabah wa barbad kar diya Be Gunah logo ki lasho ke dher lag gae Aur bahut se bade bade Aalim begunah Shaheed kar dale gae Us Waqt *Khwaja Sahab رحمته الله عليه* ki umr sirf 13 Sal ki thi Aisi Khaufnak Khooreziya dekh kar Aap ka dil bechain ho gaya hosh Sambhala hi tha k ye khatarnak Waqeat Nazar se guzre

*_{ 📚BOOK NAME:-HIND UL WALI GHARIB NAWAZ , Page No : 10 }_*

*_{ 🖌Writer Name :- MUNSHI ABDUL HAMEED BIHARI }_*

*_📄PART=0⃣6⃣_*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*_🌷JASHN-E-KHWAJA SULTAN UL HIND🌷_*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*_🌹SEERAT -E- HAZRAT KHAWAJA MOINUDDIN HASAN CHISTI رحمةاللّٰه عليه…🌹_*

*🌿Walid Buzurgwar ka Wisal🌿*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*💐Khwaja Sahab رحمته الله عليه* ki Umr Abhi 14 Saal hi ki thi k Baap Ka Saaya Sir se Uth gaya, Aur Aap Yateem ho gae Walid ne Tarke me Ek Baag Aur Ek Panchakki Chhodi thi Jo Aap Ke Hisse me Aai Walid Majid ke inteqal ke Chand Hi Mahine Baad Walidah Majidah Bhi Is Jahan Fani Se Rukhsat Farma Gai Is Sadmae Jankah Se Paaw Tale Zameen Nikal Gai Aur Hamare *Khwaja Sahabرحمته الله عليه*Be Yaaro Madadgar Rah Gae Us Waqt Aapki Umr Sirf 15 Saal thi Us Kasini me Waldain Ka Saaya Sir Se Uthna Koi Mamooli Baat Nahi Lekin Aap Ne Sabr Kiya

Magar Duniya Se Dil Uchat Ho Gaya Aap Ne Faisla Kiya Ye Duniya Kuch Bhi Nahi Haqeeqi Aur Asl Rahat Insan ko Usi Waqt Mil Sakti Hai Jab k Woh Apne Khuda Ko Pahchan Le Magar Us Raah me Bhi Rehnuma or Rehadi Ki Zarurat Thi Zarya Moash Sirf Ek Baag Aur Ek Panchakki thi Jo Walid Majid Ke tarke Me mili thi Hamare *Khwaja Sahab رحمته الله عليه* Paudo ki Khud Dekh bhaal Karte Un Ko Paani Dete Aur Kaat Chhant Kartr Gharz k Har Mumkin Tarike Se Darakhto, Paudo, Beliyo Aur Baag Ki Nigrani Karte Aur Usi Zarye Se Apni Moash Hasil Karte Rahe

*_{ 📚BOOK NAME:-HIND UL WALI GHARIB NAWAZ , Page No : 11 }_*

*_{ 🖌Writer Name :- MUNSHI ABDUL HAMEED BIHARI }_*

*_📄PART=0⃣7⃣_*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*_🌷JASHN-E-KHWAJA SULTAN UL HIND🌷_*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*_🌹SEERAT -E- HAZRAT KHAWAJA MOINUDDIN HASAN CHISTI رحمةاللّٰه عليه…🌹_*

*🍃Zindagi Me Ek Naya Mod🍃*

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*🌷Khwaja Sahab رحمته الله عليه* Shuru Hi Se Darweshiyo, Sufiyo Aur Faqeero Ki Sohbat Ke Bahut Dildadah the Un Ka Adab Karte Aur Un Se Mohabbat Rakhte the Ek Roz Hasb Mamool Aap Apne Baag Me Darakhto Ko Pani De Rahe the k Usi Asna me Ek Majzoob Buzurg Kahi Se Phirte Phirate Us Baag Ki Taraf Aa nikle ye Buzurg *Shekh Ibrahim Qandozi رحمته الله عليه* the Nau umr Baghbaan *( Khwaja Sahabرحمته الله عليه )* ki Nigah Jo Un Khuda Shenas Majzoob Par Padi to Sab Kaam kaaj Chhod Kar Udhar Motawajja Hue Aage Badh Kar Khush Aamdeed Kaha Aur Aap ke Dast Mubarak ko Bosa De Kar Nihayat Ehtaram se Ek Sayadar Darakht ki Chhaw me La Kar Bithaya Aur to kou Saman To Waze ka us Waqt Maujood na tha Magar Un Dino Angooro Ka Mausam tha Aur Angoor Ke Khushnuma Lachhe Latak Rahe the *Khwaja Sahab رحمته الله عليه* Ne Angooro Ka Ek Khushzaiqa Aur Shirikhusha Tod Kar Un Majzoob ki Khidmat me Pesh Kiya Aur kamaal Adab se Dozanu Ho Kar Un ke Samne Baith Gae ALLAH Wale Majzoob Ko Aap ki Ye Ada Bahut Pasand Aai Aur Khushi Se Chand Angoor Nosh Farmae Buzurg Majzoob Ki GhadaShenas Nazro Ne Fauran Taad Liya Ke Ye Honhar Bachcha Raahe Haq Ka MatlaShi Hai

*_{ 📚BOOK NAME:-HIND UL WALI GHARIB NAWAZ , Page No : 12}_*

*_{ 🖌Writer Name :- MUNSHI ABDUL HAMEED BIHARI }_*

 

popular posts

Leave a Comment