Naimatain Banta Jis Simt Naat Lyrics

Naimatain Banta Jis Simt Naat Lyrics

 

NAIMATAIN BAANTTA JIS SIMT WO ZEESHAN GAYA NAAT LYRICS

Naimatain Baantta Jis Simt Wo Zeeshan Gaya

Saath Hii Munshi-E-Rahmat Ka Qalamdaan Gaya

 

Lay Khabr Jald Kay Ghairon Kii Taraf Dhayaan Gaya

Mere Mawla, Mere Aaqa, Tere Qurbaan Gaya

 

Aah Woh Aankh Jo nakaame Tamanna Hi Rahi

Haye Wo Dil Jo Tere Darr Se Pur-Armaan Gaya

 

Dil Hai Voh Dil Jo Teri Yaad Se Mamoor Raha

Sar Hai Voh Sar Jo Tere Qadmon Pe Qurbaan Gaya

 

Unhe Jaana, Unhe Maana Na Rakha Gair Se kaam

Lillahil Hamd Main Duniya Se Musalmaan Gaya

 

Aur Tum Par Mere Aaqa Kii ‘Inaayat Na Sahii

Najdiyo Kalimah PaRhaanay Ka Bhi Ehsaan Gaya

 

Aaj Lay Unki Panaah, Aaj Madad Maang Unsay

Phir Na Maaneingay, Qayamat Mein Agar Maan Gaya

 

Uff Re Munkir Ye Badha Joshe Ta-assub Aakhir

Bheed Me Haath Se Kambakht Ke Imaan Gaya

 

Jaan O Dil Hosh O Khird Sab Tau Madinay Paunchay

Tum Nahin Chaltay Raza Saara Tou Saamaan Gaya

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,294 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,985 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,952 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,634 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,115 views

Leave a Comment