Nabiyon ke paishwa ko hamara salaam ho Naat Lyrics

Nabiyon ke paishwa ko hamara salaam ho Naat Lyrics

 

Nabiyon ke paishwa ko hamara salaam ho
Ya nabi assalam Ya Mustafa assalam
Nabiyon ke paishwa ko hamara salaam ho
Ummat ke rehnuma ko hamara salaam ho

Chehra hai jiska shamsudduha wallail jiski hai zulf e duta
khayi qasam hai quran me farmaya jisko yeh rabb e jaha
Us roo e wazzuha ko hamara salaam ho
Ummat ke rehnuma ko hamara salaam ho
Ya nabi assalam Ya Mustafa assalam

Sidra se leke arshe bari tanha gaye jab mere Mustafa
dekha jo aaye mehboob ko taazim se yeh khuda ne kaha
Mehmaan e laamakan ko hamara salaam ho
Ummat ke rehnuma ko hamara salaam ho
Ya nabi assalam Ya Mustafa assalam

Khaibar chale jaan e nabi haatho mein apne liye Zulfiqar
kaampi zameen larza falak rab ne diya jinko aisa waqaar
Us mard e ba safaa ko hamara salaam ho
Ummat ke rehnuma ko hamara salaam ho
Ya nabi assalam Ya Mustafa assalam

Khursheed o mah aur kehkasha jis noor se hogaye pur ziya
Gulshan khile meheke chaman shadab jisse hua yeh Jahan
Us noor e kibriya ko hamara salaam ho
Ummat ke rehnuma ko hamara salaam ho
Ya nabi assalam Ya Mustafa assalam

Nabiyon ke paishwa ko hamara salaam ho
ummat ke rehnuma ko hamara salaam ho….

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment