nabiyo ke sardar aae Naat Lyrics

nabiyo ke sardar aae Naat Lyrics

 

Nabiyo ke sardar aae do jaha ke mukhtar aae

Bolo marahaba, bolo marahaba

diwano bolo marahaba , bolo marahaba

 

Subhe miladunnbi hai kya suhana noor hain

Aa gaya wo noor wala jiska sara noor hain

bolo marahaba………………………………………………

 

 

Arsh noori farsh noori zara zara noor hain

Noor ka darbaar hai har samt chhaya noor hain

bolo marahaba………………………………………………

 

Dali dali noor ki hai patta patta noor hain

Gul khilen hain noor ke gulsan main mahka noor hain

bolo marahaba………………………………………………

 

aankh walo aao dekho mahe tayabah ki ziya

aasman ke chand main to fika fika noor hain

bolo marahaba………………………………………………

 

Noor ghar main noor bahar kucha kucha noor hai

Balke u kahiye ke sab duniya hi duniya noor hain

bolo marahaba………………………………………………

 

Jis taraf wo uth gai aalam munwwar ho gae

Main teri aankho ke sadke inme kitna noor hain

bolo marahaba………………………………………………

 

Tera roza jaliya, roze ki har diwaro dar

Noor ke darbaar ka har gausha gausha noor hain

bolo marahaba………………………………………………

 

Mustafa ke noor main hain zate baari jalwagar

Mustafa ka noor yun kahiye khuda ka noor hain

bolo marahaba………………………………………………

 

Is taraf bhi ek nigaahe noor ae noore ila

Main sarapa maasiyat hu tu sarapa noor hain

bolo marahaba………………………………………………

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,983 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,660 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,346 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,244 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,146 views

Leave a Comment