Nabi ki naat ki mahefil sajana hum na chhorenge Naat Lyrics | Barkate Raza

Nabi ki naat ki mahefil sajana hum na chhorenge Naat Lyrics

 

Nabi ki naat ki mahefil sajana hum na chhorenge

Ye nara ya rasoolallah lagana hum na chhorenge

Nabi ki naat ki mahefil ……………………………………

 

Kaho to chhor denge hum jahan ki mahefile sari

Magar milad ki mehafil sajana hum na chhorenge

Ye nara ya rasoolallah lagana hum na chhorenge

 

Pukara jab bhi mushkil me chale aae mere aaka

Wo sunte hain wo aate hain bulana hum na chhorenge

Ye nara ya rasoolallah lagana hum na chhorenge

 

Nabi ki naat padhna hazarate hassan ki sunnat

hain

Hai jab tak dum me dum nate sunana hum na chhorenge

Ye nara ya rasoolallah lagana hum na chhorenge

 

Jab apna ek markaz hai to phri ye naffrate kaisi

Wafao ke diye hardum jalana hum na chhorenge

Ye nara ya rasoolallah lagana hum na chhorenge

 

Mili hain isme aazam ki ye doulat gaus ka sadaka

Ye jashn-E-gyarwhi unka manana hum na chhorenge

Ye nara ya rasoolallah lagana hum na chhorenge

 

Kaho ye jalne walo se marenge yuhi jal jal ke

Ye hu ki bijliya tumpar girana hum na chhorenge

Ye nara ya rasoolallah lagana hum na chhorenge

 

Karege zikr se aabad dilo ki basitya ”Alwi”

Jabine sauk ke sajde lutana hum na chhorenge

Ye nara ya rasoolallah lagana hum na chhorenge

Nabi ki naat ki mahefil……………………………………

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,150 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,589 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,037 views

Leave a Comment