Sani e Zahra, bint e Ali Sayyida Janab e Zainab alayhas salam ki azmat aur unki qurbani deen e Islam ka azeem sarmaya hai.
Yeh nihayat hi khubsoorat aur dil-soz manqabat ‘Nabi Ke Noor Ki Barkat Janab-e-Zainab Hain’ unki pakiza seerat aur Karbala me unki be-misaal shuja’at ko bayan karti hai.
Aaiye is muqaddas kalam ko nihayat hi aqeedat, adab aur ehtiraam ke sath padhein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Nabi Ke Noor Ki Barkat Janab-e-Zainab Hain |
| Poet / Writer | Sayyed Shabahat Hussain |
| Category | Manqabat Lyrics |
| Naatkhawan / Reciter | Muhammad Ali Faizi |
Naat Lyrics in Roman
nabi ke noor ki barkat janaab-e-zainab hai.n
‘ali ke ghar ki sharaafat janaab-e-zainab hai.n
KHadeeja naani ke chehre ka ‘aks hai.n zainab
aur apne naana ki seerat janaab-e-zainab hai.n
husain tere liye rab ne us ko bheja tha
ki karbala ki zaroorat janaab-e-zainab hai.n
‘ali ke lehje me.n dushman se baat karti thi
‘ali ke KHutbe ki haibat janaab-e-zainab hai.n
wo karbala me.n nazar aai.n murtaza ki tarah
yazeediyo.n pe qayamaat janaab-e-zainab hai.n
bacha ke laai hai karbal se apne ‘aabid ko
‘ali ki nasl pe rahmat janaab-e-zainab hai.n
ki un ka Gam hi banega najaat ka zariya’
mere liye meri jannat janaab-e-zainab hai.n
jo baKHshwaaengi mahshar me.n teri naslo.n ko
wo teri phoophi, Shabaahat ! janaab-e-zainab hai.n
Naat Lyrics in Hindi
नबी के नूर की बरकत जनाब-ए-ज़ैनब हैं
‘अली के घर की शराफ़त जनाब-ए-ज़ैनब हैं
ख़दीजा नानी के चेहरे का ‘अक्स हैं ज़ैनब
और अपने नाना की सीरत जनाब-ए-ज़ैनब हैं
हुसैन तेरे लिए रब ने उस को भेजा था
कि कर्बला की ज़रूरत जनाब-ए-ज़ैनब हैं
‘अली के लहजे में दुश्मन से बात करती थी
‘अली के ख़ुत्बे की हैबत जनाब-ए-ज़ैनब हैं
वो कर्बला में नज़र आईं मुर्तज़ा की तरह
यज़ीदियों पे क़यामत जनाब-ए-ज़ैनब हैं
बचा के लाइ है कर्बल से अपने ‘आबिद को
‘अली की नस्ल पे रहमत जनाब-ए-ज़ैनब हैं
कि उन का ग़म ही बनेगा नजात का ज़रिया’
मेरे लिए मेरी जन्नत जनाब-ए-ज़ैनब हैं
जो बख़्शवाएँगी महशर में तेरी नस्लों को
वो तेरी फूफी, शबाहत ! जनाब-ए-ज़ैनब हैं
Naat Lyrics in Urdu
نبیؐ کے نور کی برکت جنابِ زینبؑ ہیں
علیؑ کے گھر کی شرافت جنابِ زینبؑ ہیں
خدیجہؑ نانی کے چہرے کا عکس ہیں زینبؑ
اور اپنے ناناؐ کی سیرت جنابِ زینبؑ ہیں
حسینؑ تیرے لیے رب نے اس کو بھیجا تھا
کہ کربلا کی ضرورت جنابِ زینبؑ ہیں
علیؑ کے لہجے میں دشمن سے بات کرتی تھیں
علیؑ کے خطبے کی ہیبت جنابِ زینبؑ ہیں
وہ کربلا میں نظر آئیں مرتضیٰؑ کی طرح
یزیدیوں پہ قیامت جنابِ زینبؑ ہیں
بچا کے لائی ہیں کربل سے اپنے عابدؑ کو
علیؑ کی نسل پہ رحمت جنابِ زینبؑ ہیں
کہ ان کا غم ہی بنے گا نجات کا ذریعہ
میرے لیے میری جنت جنابِ زینبؑ ہیں
جو بخشوائیں گی محشر میں تیری نسلوں کو
وہ تیری پھوپھی، شباہت! جنابِ زینبؑ ہیں