Nabi Ka Lab Par Jo Zikar Hai Naat Lyrics

Nabi Ka Lab Par Jo Zikar Hai Naat Lyrics

 

Nabi Ka Lab Par Jo Zikar Hai Be Misaal Aaya Kamaal Aaya
Jo Hijar Tayyeba Mein Yaad Ban Kar Khayaal Aaya Kamaal Aaya

Teri Duaon Hi Ki Badolat Azabِ Rab Se Bachay Hue Hain
Jo Haq Mein Ummat Ke Tery Lab Par Sawal Aaya Kamaal Aaya
Nabi Ka Lab Par Jo Zikar Hai Be Misaal Aaya Kamaal Aaya

Garoor Hurron Ka Toor Dalla Laga Ke Maathey Pay Till Khuda Ne
Jo Kalay Rang Ka Ghulam Tera Bilal Aaya Kamaal Aaya
Nabi Ka Lab Par Jo Zikar Hai Be Misaal Aaya Kamaal Aaya

Nabi Ki Aamad Se Noor Phela Fiza E Shab Par Nikhaar Aaya
Chaman Mein Kaliyon Ke Rukh Pay Husn O Jamal Aaya Kamaal Aaya
Nabi Ka Lab Par Jo Zikar Hai Be Misaal Aaya Kamaal Aaya

Umar Ki Jurrat Pay Jaoon Qrban Ke Jis Se Shetan Bhi Hai Larza
Umar Ke Anay Se Kufar Par Jo Zawaal Aaya Kamaal Aaya
Nabi Ka Lab Par Jo Zikar Hai Be Misaal Aaya Kamaal Aaya

Nabi To Saim Sabhi Hain Aala Hain Rutbey Sab Ke Azeem O Baala
Magar Jo Aakhir Mein Amina Ka Woh Laal Aaya Kamaal Aaya
Nabi Ka Lab Par Jo Zikar Hai Be Misaal Aaya Kamaal Aaya
Jo Hijar Tayyeba Mein Yaad Ban Kar Khayaal Aaya Kamaal Aaya

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,697 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...882 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...571 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...454 views

Leave a Comment