Mubarak Ho Woh Shah Parde Se Bahar Aane Wala Hai Lyrics

Mubarak ho wo Shah Parde se bahar aane wala hai Lyrics
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Sarkar ki Aamad Marhaba
Sardar ki Aamad Marhaba

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Mubarak ho Wo Shah Parde se baahar aane wala hai
Gadaee ko zamana jiske dar par aane wala hai

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Fakiron se kaho haazir hon jo mangenge payenge
Wo fariyad-ras bekas ka yaawar aane wala hai

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Kahan hein tuti ummidein kahan hein besahare Dil
Garibon ki madad bekas ka yaawar aane wala hai

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Gunahgaron na ho maayus Tum Apni rihayi se
Madad ko Wo Shafee-e-Roze Mehshar aane wala hai

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Hasan kehde uthein sab ummati taazim ki khaatir
Apna Peshwaa Apna Payambar aane wala hai

Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa

Leave a Comment