Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics

Mojza Mere Nabi Ka Naat Lyrics

 

Mojza Mere Nabi Ka
Keh Diya Toh Ho Gaya
Ap Ne Qatre Ko Dariya
Keh Diya Toh Ho Gaya

Mohjza Mere Nabi Ka
Keh Diya Toh Ho Gaya

Haat Me Talwar Lekar
Aaye Jab Hazrat Umar
Aa Mere Daman Me Aaja
Keh Diya Toh Hogaya
Mohjza Mere Nabi Ka
Keh Diya Toh Ho Gaya

Aap Dida The Ba Waqte
Asre Jab Hazrat Ali
Dube Suraj Ko Nikalja
Keh Diya Toh Ho Gaya
Mohjza Mere Nabi Ka
Keh Diya Toh Ho Gaya

Masjid E Nabavi Me Ghar Se
Aap Ke Mimbar Talak
Aap Ne Jannat Ka Tukda
Keh Diya Toh Ho Gaya
Mohjza Mere Nabi Ka
Keh Diya Toh Ho Gaya

Mustafa Ko Hai Khuda Se
Pyaar Kitna Dekhiye
Khana E Kaaba Ko Qibla
Keh Diya Toh Ho Gaya
Mohjza Mere Nabi Ka
Keh Diya Toh Ho Gaya

Naam Lekar Mustafa Ka
Haat Me Lekar Kalam
Mai Ne Ajmal Ek Qasida
Keh Diya Toh Ho Gaya
Mohjza Mere Nabi Ka
Keh Diya Toh Ho Gaya

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,061 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,925 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,917 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,546 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,013 views

Leave a Comment