Mojiza Mere Nabi Ka Keh Diya To Ho Gaya Naat Lyrics
Mo’jiza mere Nabi ka Keh diya to ho gaya
Ap ne qatre ko dariya Keh diya toh ho gaya
Haat me talwar lekar Aaye jab hazrat umar
Aa mere daman me aaja Keh diya toh ho gaya
Aab deeda the ba waqte Asr jab Hazrat Ali
Doobe suraj ko nikalja Keh diya toh ho gaya
Masjid e Nabavi me ghar se Aap ke mimbar talak
Aap ne jannat ka tukda Keh diya toh ho gaya
Billiyo pe unki shafkat Aur muhabbat dekh kar
Mustafa ne bu huraira Keh diya to ho gaya
Mustafa ko hai khuda se Pyaar kitna dekhiye
Khana e kaaba ko qibla Keh diya toh ho gaya
Naam lekar Mustafa ka Haat me lekar kalam
Mai ne Ajmal ek qasida Keh diya toh ho gaya
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,211 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,936 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,609 views
