Meri Mayyat Pe Ye Ahbab Ka Matam Kya Hai Lyrics

0. ZAARI-E-PAYHAM KYA HAY

 

Meri mayyat pe ye ahbaab ka maatam kya hay

Shour kaisa hai ye aor zaari-e-payham kya hay.

 

Waay hasrat dam-e-aakhir bhi na aa kar poocha

Mudda’a kuch to bataa deedaah-e-pur nam kya hay.

 

Kuch bigaRhta to nahiN maut se apni yaaro

Hamsafeeraan-e-gulistaaN na rahey ham kya hay.

 

In khayalaat meiN gumm tha ke jhinjhoRhaa mujh ko

Aek anjaan si aawaaz ne ik dam kya hay.

 

Koun hota hai museebat meiN shareek-o-hamdam

Hosh meiN aa ye nashaa sa tujhe har dam kya hay.

 

Kayf-o-masti meiN ye madhosh zamaaney waaley

Khaak jaaneN gham-o-’aalaam ka ‘aalam kya hay.

 

Un se ummeed-e-wafa haaye teri naadaani

Kya khabar un ko ye kirdaar-e-mu’azzam kya hay.

 

Woh jo haiN ham se gureezaaN to balaa se apni

Jab yahi taur-e-jahaaN hai to bhala gham kya hay.

 

Meethi baatoN pe na jaa ahl-e-jahaaN ki AKHTAR

Aql ko kaam meiN laa ghaflat-e-payham kya hay.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment